Laut aao..!
Ek ladki
Hasmukh thi, diwani thi,
Mein usko chahta tha
Woh mujhko chahti thi!
Zindagi toofaani thi
Har mauj mein tughyani thi
Raaton ki neend o sukoon
Uski baatein uski kahani thi
Har pal ik nayi kehkashan
Uske khayalaat mein janam leti
Aur mein lamehdood safar karta
Aur jab thak kar choor hota
Uski baahon mein gir jaata
Woh aksar, kuch kehte kehte ruk jaati
Aur kehti...
Simmi ninni aarahi hai
Aur isi gardan mein
Woh so jati...
Uski duniya sirf mujh tak thi
Aur mein?
Sirf uska!
Waqt badla, mausam badla
Aur manzar bhi...
Yun toh woh aaj bhi mere saath hai
Hamdard bhi hai aur humraaz bhi
Magar,
Ab lamhon mein woh taab nahin
Raatein dum ghotti hain
Unmein woh shabab nahin
Neend kahin gum hai,
Tanhai mein sukoon nahin...
Duniya tarraqqi pe hai
Aur woh bhi,
Bas kaam kaaj mein uljhi
Aur mein?
Pata nahin kahan choota..!
Iss andhere mein,
Aaj bhi unhi lamhon ko tatol raha hun
Chahta hun,
Woh phir jawan hojayein
Phir wahi kahani ho
phir lori der tak ho
phir raat wahi suhani ho
Aaj phir barsaat ho
Aur manzar uski zubani ho,
Kaash!
Magar,
Namumkinaat ka samundar
Bahut wasih hai...
Aur mein?
Doob raha hun!
Berozgaar,
Tang dast, tang dil o tang nazar
Bas tang hun aaj kal...
Woh ladki,
Ab bhi mere saath hai
Magar,
Kum muskaati hai
Har baat pe akharti hai
Umar badh gayi magar
Bachpan abhi bhi jawaan hai..
Uski khushiyan, uski hansi,
Meri zindagi!
Magar,
Inke adum se mar raha hun
Lamhe daud rahe hain
Har sa-at raftaar pe hai
Aur mein?
Unhi,
Bholi baaton, yaadon mein ji raha hun!
Ladti hai jhagadti hai,
Phir bhi meri hai...
bas yahi khayaal, saansein deta hai...
Itne peich o khum ke baad bhi
Woh mere saath toh hai,
Aur mein?
Uske!
Bas, woh din kahin gum hain
Kaash! woh laut aayein
Tum laut aao,
Aajao!
-Khan M. Asim...13/06/2010...2:15AM... Let us get back to old days, please! keep smiling and loving me!
No comments:
Post a Comment