Kabhi-kabhi
Kabhi khamosh beithe hain kabhi woh gungunate hain
Kabhi khud door jaate hain kabhi hum ko bulaate hain
Woh hanste hain woh rote hain kabhi daaman churate hain
Kabhi shikwa jataate hain kabhi sab bhool jaate hain!
Hijir ki bheegi raaton ka nasha kuch aisa hota hai
Kabhi unko yaad karte hain kabhi unko yaad aate hain
Bigad kar tooti nindya se yun ajnabi ho jaate hain
Kabhi humko jagaate hain kabhi humko sulaate hain
Garam apni salahon par, woh yun taane sunaate hain
Kabhi woh dil jalaate hain kabhi hum ladkhadaate hain
Na maa-ash hai na zariya hai, hue kuch yun apahaj hain
Kabhi dhadkan thaherti hai kabhi woh maar jaate hain
Thaher ja zindagi ab toh ke ab hum chal nahin sakte
Kabhi hum ilteja karte kabhi woh daud jaate hain!
-Khan M. Asim...15/06/2010..1:45PM to 16/06/2010... 10:05 AM..! please ignore the changing pattern in the poem from romantic to sarcastic as its swung by my mood, the difference in lines is due to change in winds in my life since yesterday till now!
No comments:
Post a Comment