Shikayat
Aks se darna
Har baat pe jhagadna
Yun hi Beithe aahein bharna
Maamule zindagi hai goya...
Maahol mein woh shadaabi nahin
Lamhon mein raftaar toh hai
Magar,
Baaton mein kaamiyaabi nahin..
Kaam gaya, aaraam gaya
Ab thak kar sukoon nahin milta
Har baat pe hairaani hai
Harkat pe pashemaani hai...
Kahin waqt mujhse naalaan hai
Kahin waqt se mein door hun...
Mustaqbil ka aitbaar nahin
Aur haal pe ikhtiyaar nahin
Ik kainaat ke manind
Jiska kinara na soojhe
Iss safar mein,
Na manzil hai na rasta
Aur zaade raah kuch nahin
Issi udhed-bun mein
Sooraj doob jaata hai
Na lamhon se shikayat hai
Na duniya se...
Mein khud se khud hi hairaan hun
Mujhe khud se shikayat hai!
- Khan M. Asim...30/04/2010...7:10 PM...Millenium Park, Nerul
No comments:
Post a Comment