Apni har baat ko paimana banaya usne
Guftugu ki toh shikwah bhi jataya usne
Muskurate hue chehra bhi banaya usne
Ik nithalle ne khudai ka kia jo dawa
Phir nigahon se harmein dikhaya usne
Aise bhatka hai majnu bhi sehra mein bahut
Humko aankhon mein shabo roz ghumaya usne
Rang bikhre toh tasveer mukammal samjhi
Apni har baat ko paimana banaya usne
Ik qalandar se khudai hui yun goya
Kyun ibadat ko tamasha hai banaya usne
Jisne dekha ghash khaa ke wahin dher hua
Ik qayamat ko mujassam yun sajaya usne
Khwaab, fariyaad seene mein yunhi daud gaye
Yun mohabbat se jo ASIM ko bulaya usne!
- Khan M. Asim...06/04/2010...10:50PM...Train!
4 comments:
superb.....
asim bhai...really damn gud....
I think I need another shayari-explanation-session on this.. :-)
Jokes apart, a beautiful poem,, keep the good work going.
Cheers
Ravi Tiwari:
bahut khub chhoti se umra me gahare samajh wali gazal badhiya hai khas kar mohabbat ke ahasas ko asan se juban me kahane ka andaz badhiya laga.
7 Apr 10, 12:20
azx y bhz s, free porn. cex g, xbi fxzcvr! vvwk k tes sn.
Post a Comment