Wednesday, May 12, 2010

Raftaar


Ab toh dil ko qaraar nahin

Keh do ke tumko pyaar nahin

Raat tanha kat gayi yun hi

Ab woh khwab-o-khumaar nahin

Dard haathon se dil ko aa pahuncha

Kyun gham se humein faraar nahin

Kya bacha hai jahaane gulshan mein

Baaghbaan pe bhi aitbaar nahin

Jeet kar humse kya mila tumko

Ab nasheman bhare bazaar nahin

Go khamoshi fateh ki hai rehbar

Na-umeedi pe ikhtiyaar nahin

Jiss se dil ko sukoon milta tha

Gham mein baaki sharaar nahin

Chalo maana ke tanha hai ASIM

Ab woh daud woh raftaar nahin!

- Khan M. Asim...12/05/2010...4:20 AM!

1 comment:

Arpita Sarkar said...

Cheer up .. Man .. you write too old... move the pen like a guitar... like a rock star... dooodd.. OK.. huhh Asim.. ji.. good work :P