skip to main |
skip to sidebar
Phir meri shaam jawaan, raat hanseen
Phir kahin koi kali khul ke hansi
Phir kahin naghma chida, phir kahin baat chali
Jin ke jaane pe roonthe the nazaare hum se
Unke aane pe baharon ne kia hai sajda..!
Aasmaan door tak lagta hai deewana koi
Kehkashaon mein thirakta hai sarapa koi
Har sitaare mein chamakta hai chehra uska
Noor hi noor se... hum ko hai bulata koi
Barq raftaar shuaon ne kia hai sajda
Jin ke jaane pe roonthe the nazaare hum se
Unke aane pe baharon ne kia hai sajda..!
Jaagte jaagte khwaab mila hai koi
Sookhe sehra ko aab mila hai koi
Dil-e-betaab tarasta tha nazar ko jiski
Shaam dhalte hi mehtab mila hai koi
Saare aalam ki nigahon ne kia hai sajda
Jin ke jaane pe roonthe the nazaare hum se
Unke aane pe baharon ne kia hai sajda..!
- Khan M. Asim... 03/04/2012... 02:02 AM!
No comments:
Post a Comment