Sunday, January 30, 2011

Dil Samandar


Aye Samandar,

Mujhe khud mein ghark karle

Apni baahon mein mera jism bharle...

Yeh duniya,

Ajeeb duniya hai,

Apni mojon se...

Ghame dil tar karle

Tere saahil pe roshni hai bahut

Aur yeh gosha-e-dil,

Taareek hai!

Kuch hi lamhon mein,

Yeh roshni bhi na hogi...

Har sun,

Ik siyahi,

Ek zulmaat hoga..

Ajeeb tilism hai,

Yeh umeed o beem ka...

Ek mauj laut jaati hai

Ek mauj idhar aati hai

Bade bade paththaron ki tarah

Dil par bojh hai!

Zindagi pedal,

Be-yaar o madadgaar,

Hazaaron ka majma

Aur

Mein tanha!

Ajeeb kahshmakash hai,

Teri lehron ki tarah...

Josh hai,

Tughyaani hai,

Magar...

Azaadi nahin!

Ek satpatahat hai,

Baahar nikalne ki...

Kahin jamood,

Kahin uchaal hai..

Beshumaar kichad,

Kisi gham ki tarah...

Apna aalam bhi yunhi behaal hai,

Isliye,

Aye Samandar,

Mujhe ghark karle!

- Khan M. Asim...30/01/2011...8:05 PM...Nariman Point!

No comments: