Aaj Phir Nazron Mein Thi !!
Woh bewafa !
Do tarfa chaku
Sharafat jiska sheva nahin
Husn ke nashe mein sarshaar
Taqabbur ki moorat
Aaj phir nazron mein thi...!!!!
Sapaat chehra
Bagher kisi ehsaas ke
Woh jafakash
Jo kabhi saaqi na ban payi
Dasna jiski aadat hai
KOi badrooh ki soorat
Aaj phir nazron mein thi...!!!!
Saamna jab hua
Dimaagh khayalaat se khaali
Nazrein milin
Magar!!!
Unmein woh taab na thi
Ik ajab si jalan seene mein daud gayi...
Ehsaas usko bhi tha
Hawaas fakhta tha
Kuch ghabra gayi
Jo sirf waqti thi
Woh jaanti thi
Mein darne wala nahin...
Magar uski bewafai
Woh uski behayai
Mujhe udhed bun se nikal gayi
Woh Mehbooba e Shaddadi
Aulad e Dajjal...
Aaj phir nazron mein thi...!!!!
Na koi guft o shuned
Na koi izhaar e haal
Aur dil mein yahi sawaal...
Tumne aisa kyun kiya ????
Meine toh socha na tha...
Woh lajawaab o behijaab
Naar e Arzi ka Azaab
Aaj phir nazron mein thi...!!!!
- Khan M. Asim...09/06/2007...10:14 AM...Train
1 comment:
tumaari nazron ka ilaaaj karna parey ga
IQBAL*****
Post a Comment