Tooti Umeed..!
Abhi chaand ghata mein hai
Kabhi badal baraste hain
Kabhi bijli kadakti hai
Barshgal kahin rehmat
Kahin zehmat banke aata hai
Kahin shukrana
Kahin istaqlal hai
Kahin muskaan
Kahin pukar
Mein hun, meri tanhai
Khamoshiyan
cheekhti sargoshiyan
Khauf larzah kapkapahat
Kaam banne ki umeed
Ghata mein hai
Ek jumud zahen pe tari hai
Nakami ka ghilaf gehra hai
Kamyabi kum-yab horahi hai
Yeh ghatayen kab hatengi
Yeh badal kab barsenge
Kab chand niklega
Pata nahi...
Abhi hawa mein khunki hai
Umeed toh hai
Magar
Tooti Hui!
- Khan M. Asim... 01/08/2012... 09:30 PM!
Kabhi badal baraste hain
Kabhi bijli kadakti hai
Barshgal kahin rehmat
Kahin zehmat banke aata hai
Kahin shukrana
Kahin istaqlal hai
Kahin muskaan
Kahin pukar
Mein hun, meri tanhai
Khamoshiyan
cheekhti sargoshiyan
Khauf larzah kapkapahat
Kaam banne ki umeed
Ghata mein hai
Ek jumud zahen pe tari hai
Nakami ka ghilaf gehra hai
Kamyabi kum-yab horahi hai
Yeh ghatayen kab hatengi
Yeh badal kab barsenge
Kab chand niklega
Pata nahi...
Abhi hawa mein khunki hai
Umeed toh hai
Magar
Tooti Hui!
- Khan M. Asim... 01/08/2012... 09:30 PM!
No comments:
Post a Comment