Tumko aana hi hoga!
Dekh lo...
Apne deewaane ka haal,
Ab toh bezubaan sa hai...
Na koi andaaze bayaan
Na koi range sukhan,
Suraab ki manind,
Banjar zamin ho goya...
Alfaaz aise ke jin mein dhaar nahin
Jazbaat apne tarafdaar nahin...
Mukammal namukammal ban chuka hai
Namumkinaat ka ghubbaar
Aur tumhari umeed ki pukaar...
Koi kaise aitbaar kare
Kaise dil pe ikhtiyaar kare,
Nahin!
Ab yeh bardasht nahi...
Tumko aana hi hoga,
Yeh lamhe tab hi muskurayenge
Jab tum geet gaogi,
Meri baaton ke meri hasti ke...
Tumhara vaada hai aur tumko aana hai,
Saher o shab intezaar karta hun
Bila zaroorat bhi pyaar karta hun...
Ohh!
Tumne phir mehka diya,
Likhne waale ko behka diya,
Chalo achcha hai,
Shukriya...!
- Khan M. Asim...09/02/2009...1:00PM...Train
No comments:
Post a Comment