Jungle Ki Shehriyat..!
Jungle ki shehriyat thi paththar ke sab khuda they
Hum poojte rahe par devta khafa they
Dhakne ko perhan the na chupne ko hi nasheman
Hum kaat-te rahe sar unpe huwe fida they
Kya mushkilein na aayin kya aandhiyan na tooti
Haan lad rahe they khud se khayal jo juda they
Kya gumaane bandagi tha kya nashaye tishnagi tha
Jab bharam hamara toota ranjoor aah nida they
Unhein khudsari ne maara jo jiye the baazuon pe
Jo kare they shehsawari sab halqa ba qaza they
Jo chupey the nashtaron se jo dare they qatilon se
Ab kaun yeh bataye woh ghalat the ya baja they
Siyaah ulfaton ke saaye huwe noor mein huwaida
Kaise batayien ASIM woh jaza they ya saza they
Kirdaar khoobsoorat ifkaar mein bhi achche
Kyun todne lage gul jo dast ba dua thay
Woh khuda hi ban ke maane jo aadmi na nikley
Bekaar jo sada they bigdi hui adaa they
Hum ko yaqin hai tujh pe bigdi banaane waale
Jo aaye they ku-e-maqtal shayad teri raza they
Jo takhaiyulon se ubhre huwe ishq mein mujassam
Ab lag raha hai ASIM woh lamhe bawafa they!
- Khan M. Asim... 07/09/2011... 02:21AM... After a long interval!
No comments:
Post a Comment