Mazhabi diwaar se na baandho dil ko!
Mazhabi diwaar se na baandho dil ko
Yeh musaafir hai chala jaane do
Rang aur nasal ka hataa do pehra
Uska chehraa nazar aane do
Yun to shab-khun na chalao dil par
Uski aankhon ka nasha chaane do
Sirf guftaar se diwaana na karo
Toor-e-dil ko bhi jala jaane do
Zindagi saaz banaa do meri
Apne rukh se bhi hawa aane do
Matlabi dost samajhlo chaahe
Meri khushiyon ko mujhe paane do
Ab ke ASIM se juda hona na
Apni chilman ki ghata chaane do...!
- Khan M. Asim...31/03/2008...3:42 PM...Media Monks Office...!