Woh......!
Haan woh mukhtalif hai...
Kabhi kabhi bachchi ban jaati hai,
Ziddi, chulbuli si...
Narm o naazuk jins...
Jagmagati mutlashi aankhein
Zahen mein dher saare sawaal
Magar izhaare khayaal se nawaqif
Kabhi bilkul meri ban jaati hai
Kabhi zamaane se darr jaati hai
Yun bhi koi kamzor nahi...
Bahut fahmidah hai...
Lamha-tarashi mein uska saani nahin..
Muskura ke har khayaal badal deti hai
Ik tabeeb ba daste shifa,
Meri har bemaari ka ilaaj...
Roshan zameer o khoobsoorti ka paikar
Alfaaz ki kumyaabi o uska husne himalya
Woh kisi tareef ki mohtaaj nahin
Apni misaal khud hai,
Mukammal, shahkaar, koi mojazah...
Bashindae firdos...
Meri mohabbat o zindagi
Saanson ki dor kaho ya
Zamin ka mehwar,
Har gardish usise hai...
Uski har ada niraali hai
Isiliye meri honewaali hai:)
Usko yaqeen hota ja raha hai
Aur mera Imaan hai,
Hum ek honge..!
Badal denge qudrat ke har qaanoon ko
Shayad yahi mohabbat hai,
Aur yahi husne mehboobi...
Khaame thamta nahin...
Khaame thamta nahin...!
- Khan M. Asim...31/08/2008...CST n BEST...8:15 AM...only4u...!