Shamma tum jalaye rakhkho
Har taraf jung o jadal, firqa parasti ka samaan
Sukoon milta nahin ab peeri aastaanon mein
Charkh e gardun surkh ast, zehreli aab o hawa
Har taraf lahaul hai ab toh aasmaanon mein
Nadamat o pashemaani virasat ban gayi ab toh
Zindagi utaran hui goya musalmaanon mein
Joshe jahad ab phoot raha hai baanke naujavanon mein
Goonjti hai la-ilaha ab toh kohistaanon mein
Loot liye sab dariya usne, atom uska sarmaya hai
Phir bhi joote khaa jata hai ab woh registaanon mein
Doob gaya hai sooraj go ke Iraaq o afghaanon mein
Shamma tum jalaye rakhkho ghar ke roshandaanon mein
Yakja hokar ab mil jao, aman ka parcham tum lehrao
Muskura ke dil behlao, hai baat yahi farmaanon mein
Doob gaya gar ilm AYESHA saghar o paimaanon mein
Tumhari daastaan tak na hogi daastaanon mein...!
- Khan M Asim...27/12/2008...2:500 AM...on request of my dearest baji...:)