Tumhari Aamad
Ujdi basti sookhe khet
Zindagi bikhri ret,
Tumse udaas khudse bezaar,
Wahi rivayati kahani aaj bhi ravaan davaan hai...
Tum imtahanaat mein mashghool
Aur mein,
Kamiyabi se bahut door!
Umeedein tumse rubaru hone ki
Guftugu ki kalaam ki,
Dil ki tum zamin bani
Aur zindagi neelaam hui...
Shikayat o ranj ka ik mehlool
Khoone jigar mein shaamil hai...
Jurrat parbaton se ladhne ki
Magar justuju tmse baat kehne ki...
Nahamwaar marhale,
Roz o shab ki dhadkan hain...
Tum ho ke apni manzil pe
Mein rehguzar mein khoya hun...
Ta-hadde-nazar sabzah hai magar
Shaadaabi nahin!
Zehreela neela aasmaan
Tumhare hone ka gumaan...
Sheerin khwabon ke mahal
Aur tum ik talkh haqeeqat
Khirad ko taqseem karte lamhe...
Har mudda wahi hai
Tumhari aamad bahut zaroori hai...
Aur rakhkha hi kya hai duniya mein
Tumhari aamad, tumhari aamad hai!
- Khan M. Asim...11/06/2009...7:20PM...