Tuesday, November 30, 2010

Tarke-Wafa


Humko jhidak kar jaam jo tum ne pila dia

Iss be-lagaam dil ka mehwar hila dia

Hum to na kar sake kabhi tumse wafa ae dost

Tum ne jafa-kashon ko wafa se sila dia

Tarke wafa ke vaaste jo tum ne kia hai aaj

Dekho toh aasmaan ko zamin se mila dia

Be-jaan hasraton ka kharidaar kaun hai?

Ik aarzu thi dil mein so usko sula dia

Humko mitaane waale zamaane se mit gaye

Dushman ko kab hai mauka tumne bhala dia

Hai sogwaar mehfil, ASIM zara sanbhalke

Jis se bhi ki wafa hai ussi ne gila dia!

- Khan M. Asim...30/11/2010...4:53 AM..!

Life!

At the moment am happy and flying high, life seems to be coming back on track. As a first time teacher, i was damn nervous and scared of results but now am all smiling as students scored highest in my subject! Mashallah!

Although am still hunting for a good journalism job but at least there is some relief, We can not blame the God and destiny every time, sometimes we are the culprits! I feel it now, time may be running fast or it might have stopped for me but am still trying to be mature, i know am short-temper, anger kills the ambitions, and in my case everything is against me, may be gadgets and may be practice.

I feel, i started it with a happy note but as a sad soul or rather say boring poet inside is forcing these thoughts to be typed here, i have no intention to write all these dramatic lines here.

Well am going, will discuss later, my love is calling! cya :)

Sunday, November 28, 2010

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!


Kabhi kabhi khwabon mein aakar woh roz hi mujhse ladti hai

Mein bbhi uska deewana hun woh bhi mujhpe marti hai...

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Na aankhon mein neend ka ghalba na saanson mein pehli tadap

Baat kare jab sharma ke yun lagta hai woh darti hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Duniya uski jannat uski mein toh narak ka baasi hun

Jannat mujhko mil jaaye woh roz duaen karti hai

Mein sochun hun duniya daari paas na jaon yaaron uske

Go darti hai phir bhi yaaron chaar qadam woh badhti

Jo samjhaon mein yeh usko karobaar zamaane ka

Bas pyaar karo kuch na bolo yeh kehkar mujhpe akadti hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Arre uski adaayein mashallah har dum teer chalati hai

Mujhko shikaar hai karne waali khud ghayal hojati hai

Rahon mein mujhe woh takti hai phir yun peich badalti hai

Kaunse hoor pare ho tum? jo duniya tum pe marti hai!

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Jo mein sunaon sher kabhi woh ghazal banke angdati hai

Meri kahaani mujhse pehle woh khud hi ban jaati hai

Oonchai pe ghar hai uska neeche milne aati hai

Jo sochun usko tanha mein shehzaadi ban jaati hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Shehzaad salaahein deta hai ke ASIM isko chodna na

Par gharwaalo ke saaye se hi tabiyat meri ghabratii hai

Usko samjhaon kis tarah woh jab yun roya karti hai

Jo hans dun thoda sa bhi phir khoob hi gussa karti hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Neem nasha woh aankhon mein liye angdaaiyaan bharti hai

Kabhi kabhi khwabon mein aakar woh roz hi mujhse ladti hai

Mein bbhi uska deewana hun woh bhi mujhpe marti hai...

Kabhi kabhi khwabon mein aakar....!

Khan M. Asim... 06/01/2007... 7:15AM...Train...Nerul to Wadala!

Well, i was looking for my Broadcast Journalism, T.Y.B.M.M notes as I am resuming lectures at S.N.D.T Matunga, fortunately got a chance to read my old work, which i have never copied anywhere, there are many such but this i found and sharing with you people!

Saturday, November 27, 2010

jawaab!

Zindagi, tujhko jawaab hum denge

Viraan aankhon ko khwaab hum denge

Waqt seene mein dafan karega kisko

Teri kitaab ko nisaab hum denge!

Tere wajood ka zamana kare maatam

Teri awaaz ko khitaab hum denge

Tu beqasoor hai toh tujhe bakhsh dia

Jo gunaahgaar hai toh azaab hum dene!

- Khan M. Asim... 27/11/2010... 3:25 PM..!

Friday, November 26, 2010

Nafrat!

Dekho humein nazar ka yeh saanp dass raha hai

Do gaz zameen ke niche insaan dhass raha hai

Itni kahan adavat heiwaan o jinn ke bass mein

Zulm-o-jabar ka phandah insaan kass raha hai!

- Khan M. Asim...26/11/2010...2:30 PM..!

Thursday, November 25, 2010

Jawaab chahiye ya sawaal kar rahi ho???


Jawaab chahiye ya sawaal kar rahi ho

Meri muflisee ka malaal kar rahi ho

Hain kaandho pe abtak farishtey salamat

Kya aansuon se mere khayaal kar rahi ho

Na paani diya hai na khaane ko daana

Kyun bakre ko aise halaal kar rahi ho

Na koi nadamat, na chinta hashar ki

Bade perhan hain kamaal kar rahi ho

Kyun taqdeer apni bujhai hai tumne

Jo auron ki mehfil fuaal kar rahi ho

Yeh aadat hai apni ke sunte hain sab ki

Kahaan be-zarar se jalaal kar rahi ho

Na ASIM bandha hai, na jakdega koi

Kya lagta hai jeena muhaal kar rahi ho?

- Khan M. Asim...2:00 PM to 4:35 PM to 6:55 PM...Sahara Samay office..!

Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se..!


Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se

Har kali muskayi pyaar mein pyaar se

Tere deewaane ka ab kahan hai pata

Tujhko dhunde hai galiyon mein bas pyaar se

Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se..!

Ik tera naam hai jo labon pe ravaan

Naachti hai zamin, gaa raha aasmaan

Parbaton ne pukara tujhe pyaare se

Dhoondti hain tujhe yeh vaadiyaan

Khilwaton mein bhi jhooma bade pyaar se

Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se..!

Raat, din, har paher ek mehfil mein hai

Aarzoo bas teri iss mere dil mein hai

Meri majbooriyaan, tu meri justuju

Tu hi raahon mein hai tu hi manzil mein hai

Raaston ne bhi chooma mujhe pyaar se

Tu ne dekha jo mujhko bade pyaar se

Har kali muskayi pyaar mein pyaar se..!

- Khan M. Asim... 25/11/2010...3:15 PM..!

Wednesday, November 24, 2010

Aarzu


Aarzu jiski aankhon ne jatai humko

Usi dildaar ne awqaat batai humko

Ab sarai, na manzil ki koi aas rahi

Aisi taabeer kismat ne dikhai humko

Ek tinka hai jo sahil pe khada hai jamke

Doobi kashti ne yahi baat batai humko

Ik charagh sa roshan tha kisi kutiya mein

Dil ke tukdon ne yahi baat batai humko

Woh jo chilman mein chupi daud gayi

Har nazaare ne wahi ek sujhai humko

Ab na bolenge vaada yeh kia hai humne

Aisi tasveer zamaane ne dikhai humko

Woh jo ASIM tha kahin ghaayab hai

Uske saaye ne yahi baat batai humko!

- Khan M. Asim...24/11/2010...2:00PM to 9:30PM..!

Friday, November 12, 2010

Sanfe Nazuk


Husne paikar jamaal rakhti hai

Sanfe naazuk kamaal rakhti hai

Hum se vaadah kare mukarne ko

Aur doston ka khayaal rakhti hai

Jab se qabza hai iska maqtal pe

Be-kason pe jalaal rakhti hai

Kaun dega jawaab mehshar mein?

Yeh jo itne sawaal rakhti hai

Suraj dooba hai ghame siyahi mein

Kehkashan pe yeh dhaal rakhti hai

Kaamiyabi muzakkar na hojaye

Ab chupakar mashaal rakhti hai

Sab hain mazloom iske ae ASIM

Sab ka jeena muhaal rakhti hai!

- Khan M. Asim...12/11/2010...12:24PM..!

Monday, November 08, 2010

Jab yaad hamari aajaye..!


Jab yaad hamari aajaye, tum geet hamara gaa lena,

Palkon ko jhuka kar tum apni khwabon mein humko bula lena

Andaaz yahi apna rakhna, kajal ko yunhi laga lena

Khamosh khade hon dono jab seene se humko laga lena

Jab yaad hamari aajaye, tum geet hamara gaa lena..!

Saahil pe ek gharonda hai, nadiya bhi paas se chalti hai

Aankhein hain bani do generator, bijli bhi wahan pe jalti hai

Sorish si kare kuch moje dil kahin koi kali phir khilti hai

Khwaabon ko woh ek makaan taskeen jahaan pe palti hai

Kabhi chori chupke aake tum iss rut ko yunhi jaga lena

Jab yaad hamari aajaye, tum geet hamara gaa lena..!

Rokegi bhala kab tak duniya, kabhi jeene waale mit-te hain

Pyaason ka jungle hai duniya jaane kitne baadal bikte hain

Laakh jatan kar le rakhwala panchi ka gagan se naata hai

Lohe ki salakhein hon toh kya aji pyaar ke panchi udte hain

Aazaad jahaan dil ho jaye wahan naam hamara laga lena

Jab yaad hamari aajaye, tum geet hamara gaa lena...

Palkon ko jhuka kar tum apni khwabon mein humko bula lena..!

- Khan M. Asim...08/11/2010...3:17 PM..!

Tuesday, November 02, 2010

Tu bata kidhar jaon???


Ji rahun ya marr jaon?

Tu bata kidhar jaon???

Ishq banke kho jaon

Dard mein bikhar jaon

Tu bata kidhar jaon???

Teri yaad mein khoya

Dar-ba-dar bhatakta hun

Aasmaan se lad jaon

Ya zamin se darr jaon

Tu bata kidhar jaon???

Chaman waale toh soye hain

Gul-o-bulbul bhi khoye hain

Kise haale dil sunaon mein

Khud hi se baat kar jaon

Tu bata kidhar jaon???

Bhala naadim hua kyun dil

Tu hi hai jab mera qaatil

Khamoshi zarb na haasil

Lahoo ko aab kar jaon

Tu bata kidhar jaon???

Chaand bhi pareshan hai

Shams thoda hairaan hai

Gardishe zamaana mein

Raat din thehar jaon

Tu bata kidhar jaon???

Masjidon ke hujron mein

Roz sajde karta hun

Maangne dua apni,

Aur kiske ghar jaon?

Tu bata kidhar jaon???

- Khan M. Asim...02/11/2010...1:13 PM...!

Monday, November 01, 2010

Woh aadmi bhi ajeeb tha

Meri nazar se utar gaya jo, woh aadmi bhi ajeeb tha,

Woh mehfilon mein ameer tha woh khilwaton mein ghareeb tha!

Yun tewri thi chadhi hui, mile tha sab se tapaak se,

Woh naalan khud se khud hi tha, woh ranj o gham ke qareeb tha

Woh bana phire tha paarsa, woh sochta tha rehbari,

Na kaam koi kar saka har kaaj pur takhreeb tha!

- Khan M. Asim... 01/11/2010...5:30 AM! I might add some couplets to it, if did so will publish here too!