Friday, May 27, 2011

I MISS YOU!

Thanks for your gift my love, and here am posting it without editing... This is pure love, which you gave me... May ALLAH Bless US!


But...

Uske bagher har mehfil adhuri hai

Mere hone ko uska hona zaruri hai

Saalgirah hai be-mazah yeh doston

Mera mohsin aaj khud ranjuri hai!

Khan M.ASIM...27/05/2011... 12:30AM.. On my 25th Birthday!

"Without her party is incomplete, For my being, her being is important, There is nothing in b'day, when my beneficent is unwell!"

(I am missing YOU alot!)

Monday, May 23, 2011

MERI SHAYERY...


JAB HAWAYEIN TEZ HOJATI HAIN,

AASMAN TAREEKI MEIN GUM HO JATA HAI,

ZAMEEN KI GARDISH DAGMAGANE LAGTI HAI,

DARAYEIN RUKH MOD DETI HAIN,

ZINDAGI SAHRAON MEIN BHATAKTI HAI,

JAB DOOR DASHT SE KOI AWAAZ DETA HAI....

TAB MEIN .....

SAHRAON KI RET PE, NADI KE SAHIL PE,

ZAMIN KE MAHWAR PER BAITH KE,

YEH ALFAAZ LIKHTA HOON,

JO AASMANON MEIN GOONJTE HAIN,

PARBATON KO HILATE HAIN, YEH ALFAAZ.......

MERE DIL KI AWAAZ,

KAASH AWAAZ DIL SE DIL KO POHNCHE....

MOHABBAT KA PAIGHAM DE....

YAHI AWAAZ- E-QALB HAI.....

THE VOICE OF HEART...

PLEASE MAKE PEACE AND SPREAD THE MESSAGE!

- KHAN M. ASIM....!

Sunday, May 22, 2011

Mein lafzon ka jaadugar!


Mein lafzon ka jaadugar

Harf harf hai mera ghar

Har nuqta hai meri nazar

Har jumla hai mera nagar

Mein lafzon ka jaadugar!

Mein lafzon se jaam kharidun

Har mehnga ina-am kharidun

Duniya ki har shey beichun

Kaam kharidun, naam kharidun

Sab se bada mein saudagar

Mein lafzon ka jaadugar!

Mein raai ko parbat kehdun

Parbat kar dun raai

Ambar pe mein shajar ugaon

Zamin ko dun oonchai

Har lafz mera badle manzar

Mein lafzon ka jaadugar!

Mein lamhon mein saal chupa dun

Saal ko kardun lamhey

Mere aage dharti sooraj

Sab ki doori kum hey

Hai gehra mera mausam pe asar

Mein lafzon ka jaadugar!

Mein dushman ko dost bana dun

Dost ko kar dun dushman

Gulshan ko mein aag laga dun

Aag ko kar dun gulshan

Mein har gul-rukh ka dilbar

Mein lafzon ka jaadugar!

Mein zaalim ko ishq sikha dun

Aashiq kar dun zaalim

Tukde tukde pyaar ko kar dun

Aur phir kar dun Saalim

Mera har dil se hai guzar

Mein lafzon ka jaadugar!

- Khan M. Asim.... 22/05/2011... 10:15PM!

Friday, May 20, 2011

Sawaal yeh nahin ke kharidaar kaun hai

Sawaal yeh nahin ke kharidaar kaun hai

Dard hai bas itna madadgaar kaun hai?

Dil ko nisaar karte rakha na kuch khayaal

Aur aaj sochte hain talabgaar kaun hai

Kaisi yeh anjuman hai kya duniya, mehfilein

Kamzor o naatvaan ka tarafdaar kaun hai

Khud pe gharoor tha ke fasle jahan badal dein

Toota bharam yun itna asardaar kaun hai

Rakhkhe akhuwaton o masavaat ka jo paas

Iss daure qaatilaan mein ravadaar kaun hai

Kitni rahi ho unchi aye tair teri udaan

Qatrey hue paron ka wazadaar kaun hai

Chaehe bhiga lo palkein ya zindagi bujha lo

Muflis, berozgaan ka wafadaar kaun hai

Junjhe woh yunhi har sun yaas o khwargi se

Usko gila yeh goya mazehdaar kaun hai

Kaisi nadamat usko kaisa pasheman hona

Yaan kaun poochta hai khatavaar kaun hai

Kya khub kat rahi hai khilwat bahisht ASIM

Warna gadaagaron ka ghamkhwaar kaun hai!

- Khan M. Asim... 20/05/2011... 10:10AM!

Wednesday, May 18, 2011

Tanhai ke din hain achche


Tanhai ke din hain achche

Lamhon mein yeh lamhe sachche

Jab tanha jeena, tanha marna

Phir kaun kare mehfil ke kharche

Dard mile toh, saath sukun bhi

Samar hain yeh kuch pakke kachche

Chand kadam aur chatt yeh apni

Ghoom rahe hum lachche lachche

Door hai manzil aur na saamaan

Raste hain yeh kachche kachche

Yaad hain aate din woh apney

Khelte they jab kanche vanche

Hum dhoondein ASIM aise saathi

Jaise gum hon bachche vachche!

- Khan M. Asim... 18/05/2011... 8:33PM!

Few single couplets!

Tumhari muskurahat se manzar aise badalta hai,

Jaise gas ke lighter se kitchen mein stove jalta hai! ASIM

...........

Mausam pyaar ka hai jaana

Aao pyaar karein.....! will write it further..ASIM

............

Bahut nibhai wafa thi usse,

Sukoon-e-dil phir mila nahi kyun?

Galey lagakar tha chooma usko

Phir dost dil se mila nahin kyun? ASIM

............

Bhaad mein jaaye duniya-daari

Kis ko padi hai fikar tumhari! ASIM

............

Haadse zindagi ka hissa hain

Ya zindagi haadsa khud hai? ASIM

............

Mujhko gale laga lo, meri saans hai shikasta

Mein pyaar ka hun panchi karo qaid rafta rafta! ASIM

............

zara si baat pe hum kaainaat de beithe,

Bas Uss ne poocha tha rang kya hai mera! ASIM

............

Khushiyon ki ghutti mil gayi

imitihaan se chutti mil gayi! ASIM

.............

Dil mein ajeeb halchal hoti hai

Jab maa bewajah yun soti hai! ASIM

.............

Sar-e-mazgan lagta hai pasina

Ba-manind seemaab o nagina! ASIM
When I see my dad doing all the work at the age of 69,though having arthritis! When he sweats with all hard work, and that water pours out seems to me as Mercury and Gem - jewel!

............

Ishq ki kashti dubakar,

paar jana chahta hun! ASIM

............

Ishqe na-hanjaar

Aur tawaifon sa dil! ASIM

............

Haseenon ki galiyon mein panga na lena

Jo juti padein toh phir mujhse na kehna!

Chehra chupakar bhaag jaana wahan se

Mujhe na pakadna hai mujhko wan rehna! ASIM

...........

Koi raaz hai jo tujhe na bola

Phir imtihan yeh kaisa mola? ASIM

............

Waqt gar bura sahi, khud tu bura na ban

Mana kismat thik nahin par tu khuda na ban! ASIM

............

Sach ki talash mein hun nafrat hai jhoot se bhi

Yahan qanoon ban raha khaadi ke soot se bhi! Asim

............

Lehrao tiranga chodo ghubbare

Jeet gaye hain Anna Hazare! ASIM

............

Jo toota hun toh judne ka hunar jaanta hun

Mein ASIM hun apni qadar jaanta hun! ASIM

............

Phir wahi bahaar hai

Mehki simt chahaar hai

Har lamha beqaraar hai

Humko tumse pyaar hai! ASIM

............

Dard kyun hai? dawa kyun nahin lete..

Apne mehboob ko bula kyun nahin lete! ASIM

.............

Iss dil ne tujhse mohabbat karne ko kaha

Magar dimaag ne mujhe samjhaya bahut

Aur zaalim jab meine tujh se izhaar kia

Tu ne bhi apne bhai se pitvaya bahut!

-Asim...06/10/2001.... hahaha... cant forget old days!

...........

Jab dar o diwar chidane lagein

Tum Mujhe pukaar lo! Asim

...........

Ishq par zor nahin

aur aashiq kamzor nahin! Asim

...........

Gardish mein agar pyaar hai bebas na samajhna

Hai dard yahan hota behis na samajhna

Rukhsaar tera zulf ka paband nahin hai

Gore ko kabhi kaale se monis na samajhna! Asim

...........

Dekh dil hai tarazu ka na pansa koi,

Jis taraf bojh ho uth jata hai! ASIM

............

Meine phool toh dekhe hain bahut se,

Un mein gulaab bhi hai dekha,

Woh bhi hasin nahin hai,

Aye yaar tere jaisa! ASIM

.............

Gul ki shaguftagi ho ya chidiyon ko cheh-chahana,

Koi aisa haseen nahin jaisa tera muskurana! ASIM

.............

Gham mein tu shamil nahin hota

Zakhm bhi mundamil nahin hota!

Jeet jaata mein agar tu,

Raah mein haa-il nahin hota! ASIM

..............

Khushbu chidey hain tumhare haan lab se,

Tabassum tumhari pyaari hai sab se,

Janamdin rahey yun mubarak hamesha,

Salamat raho tum dua hai yeh rabb se!

Khan M. ASIM... 22/05/2011... 12:10AM...Dedicated to Miss Meenakshi Sharma!

.................!

Woh roonth gaye hum haar gaye


Woh roonth gaye hum haar gaye

Phir kuch lamhey bekaar gaye

Dard utha seene mein bahot

Jab door zara sarkaar gaye

Milon ki masafat lamhon mein

Par manzil se inkaar gaye

Hai kaisi khudi aur kaun khuda

Jab dil se hi mukhtaar gaye

Phir ek sukoon ko paane ko

Khuch husn o adaa darkaar gaye

Hai kaun sanam aur kaisa junun

Jab duniya se bezaar gaye

Hai kaun pisar aur kaisa pidar

Woh loot ke sab ifkaar gaye

Hai khauf kisey ab duniya ka

Hum dard ka sehra paar gaye

Auron se shikayat kya ASIM

Khud lekar hum aughaar gaye!

- Khan M. Asim.. 18/05/2011... 12:15PM!

Saturday, May 14, 2011

Jhuki jhuki si nazar mein uski


Jhuki jhuki si nazar mein uski

Hazaron qaatil basey hue hain

Woh dekh ley jo palak utha ke

Koh o anbar jhukey hue hain

Gesuon ke peich o kham mein

Najaane kitne phansey hue hain

Adaa udey hain patang ban ke

Hazaron maanjhe kasey hue hain

Jo boley hai woh tarang ban ke

Zaahidon ko nashey hue hain

Nigaah nigaah hai sharaab uski

Paimaane kitne bharey hue hain

Yeh chaand taare gul o nazaare

Ussi ki khaatire jiyey hue hain

Mehfilon ki hai jaan bas woh

Charagh us mein jaley hue hain

Dekhne ko bas ik jhalak ko

Hazaron majnu khadey hue hain

Bana ley apna woh chun ke humko

Khayalon mein sab dhansey hue hain

Bhula ke beithe woh jab bhi humko

Yeh zakhm utne harey hue hain

Zakaat dede jo husn ki woh

Kab se dar pe padey hue hain

Bujha dein usko garam hawa se

Hazaron toofaan adey hue hain

Choomne ko uss maah-roo ko

Hazaron armaan chupe hue hain

Hazarha dushnaam woh kare hai

Phir bhi aashiq datey hue hain

Zindah hai bas woh ek ASIM

Hum toh kab ke marey hue hain

- Khan M. Asim ... 13/05/2011.. 1:10 PM!

Monday, May 09, 2011

Sab aap hi ke husn ka aizaaz hai!


Kya sitaaron kehkashan ka raaz hai

Sab aap hi ke husn ka aizaaz hai!

Muntashir hai zarrah zarrah dekhiye,

Kuch nahin bas aapki aawaaz hai!

Jhoomte hain meh o manzar dekhiye,

Chaal hai ya cheda koi saaz hai!

Husn waale yun bahut hain bazm mein,

Munfarid bas aapka andaaz hai!

Haan shikayat ki bahut hai aapki,

Aur aasmaan yeh mera humraaz hai!

Fitna-parvar keh rahe hain humse yeh,

Husn par unko bala ka naaz hai!

Yeh nazakat hai kahan gulzaar mein

Aap hi par toh gulon ko naaz hai

Kuch parastish, tawaf ka mauka miley

Haan diwana aapka jaanbaaz hai!

Kyun dikhawa dooriyon ka yun bhala

Banna jab hamaari hi shehnaaz hai

Kho gaye hum husn ki gehrai mein

Oonchi warna yun bahut parwaaz hai!

Ek to dil phenk Asim aur aap

Shokhiyon ka yeh faqat aaghaaz hai!

- Khan M. ASIM...09/05/2011...3:45PM!

Friday, May 06, 2011

Kaunsa jugnu haara hai!


Pankh katar do, jaal bicha do, ambar phir bhi hamara hai

Muththi mein tum kitna bhincho, kaunsa jugnu haara hai

Kankar paththar karte ramaq yun dushman ke hathiyaron pe

Ghar mein chupkar beitha hai, jug mein jiska ijara hai

Badnaam hue dehshat ke liye, kis kis ko dil dikhlaye hum

Ishq, mohabbat fun apna, Junoon ko hum ne sanwaara hai

Aman hai hum se hum hain aman ke quran ka yeh ishara hai

Doob chuki jab sab qaumein tab jaake hum pe utaara hai

Bhool gaye tum sab qurbani ke ahle watan ghaddar hain hum

Jab jab mushkil aain watan pe hum ne lahu ko pukara hai

Do lafzon mein khatam kahani, dev bhi uske pariyan uski

Sab ko budhdhu banata hai, jo jug ka raaj dulaara hai

Kitni chaalein bachi Asim aur kitna khel hai baatil ka

Jab khud pe aayi hai qudrat, haq ne baatil ko maara hai!

-Khan M. Asim...06/05/2011...5:00AM!

Thursday, May 05, 2011

Aye mere Parvardigaar!


Aye mere Parvardigaar

Mujhko dede mera pyaar

Mujhko dede mera pyaar

Aye mere Parvardigaar..!

Nind meri cheeni uss ne

Chain loota aur qaraar

Kho na dun mein yunhi usko

Kar de darr ko tu faraar

Sab se aala zaat teri

Kar de rehmat be-shumaar,

Aye mere Parvardigaar,

Mujhko dede mera pyaar..!

Subha usse shaam usse

Mehfilon ka jaam usse

Har jagah bas rang uska

Zindagi ka naam usse

Geet gaon mein ussi ke

Yunhi rakh mujhpe khumaar,

Aye mere Parvardigaar,

Mujhko dede mera pyaar..!

Baat mein har baat uski

Khushiyan sab saugaat uski

Aankh mein har khwaab uska

Jaan meri hai zaat uski

Kab talak yun door beithein

Khatam kar de intezaar,

Aye mere Parvardigaar,

Mujhko dede mera pyaar..!

Mein hun tishna woh hai dariya

Mein hun raahi woh dagariya

Duniya ki woh meri bunkar

Mein hun shehri woh nagariya

Ab nahin hota hai mumkin

Dil pe mere ikhtiyaar,

Aye mere Parvardigaar,

Mujhko dede mera pyaar..!

Roop uska rang uska

Badhia laage dhang uska

Chaahun na kuch aur tujhse

Saath gar ho sang uska

Maangta hun sirf tujh se

Tujh pe bas hai aitbaar,

Aye mere Parvardigaar,

Mujhko dede mera pyaar..!

- Khan M. Asim... 05/05/2011... 3:19PM!

Tuesday, May 03, 2011

Hai mit chuka Osama naam o nishaan se!


Samandar mein ghark karke kehta hai shaan se

Hai mit chuka Osama naam o nishaan se!

Lamhon ki her pher mein dafna dia saboot,

Dhoka karega yun toh woh jayega jaan se!

Aale nashariyaat ke uske hain be-hisaab,

Dehshat phela raha hai woh apne makaan se!

Kaale-safed unko mein tafreek kya karein,

Jitne bhi aaye sab hain paida shaitaan se!

Hindi hon cheeni hon, roosi hon faarasi,

Sab aarahe hain jhaanse mein pakistaan se!

Na-haq bahayega jo lahoo muzloom ka kahin,

Joonjhega yun hi katrina-laila toofaan se!

Na mil sakegi khaak aur tadfeen hi kahin,

Jayega har ik dahshat-gard yun hi jahaan se!

Johar pe jisko naaz hai khud pe ghuroor hai,

Sholey ugal raha hai woh ASIM zubaan se!

- Khan M. Asim...03/05/2011... 2:38AM!

Sunday, May 01, 2011

Iss zamaane ko nind pyaari hai


Iss zamaane ko nind pyaari hai

phooti kismat faqat hamari hai!

Jaankar anjaan banna fitrat hai,

Raat din ajeeb vehshat taari hai!

Keh chuke gham magar suna kisne?,

Ek muddat se dard jaari hai!

Ashk seenchein har ek lamhe ko,

Bas ghamon ki yan kashtkaari hai!

Kisko tohfa kisey mohabbat dein,

Hum se roothi yeh duniya saari hai!

Humko ruswa kia hai apno ne,

Kaisi ulfat o paasdaari hai!

Pighal raha hai wujood padne se,

Har nazar yan pe taabkaari hai!

Aarzoo dil mein rahe toh achcha hai,

Tum pe ASIM yeh waqt bhaari hai!

- Khan M. Asim... 01/05/2011... 3:22AM!