Thursday, June 30, 2011

Aa ri sajni pyaar karein hum..!


Mausam mein naache hai mann

Ang ang mein sulge agan

Hichkole khaaye dhadkan

Kehti hai chupke se pawan...

Aa ri sajni pyaar karein hum..!

Aa ri sajni pyaar karein hum..!

Patta patta bol raha hai

boota boota dol raha hai

Khil khil kar chpuke se kamal

Raaz yeh hum pe khol raha hai

Aaya hai pyaara saawan...

Aa ri sajni pyaar karein hum..!

Aa ri sajni pyaar karein hum..!

Saher yeh deti nayi umang

Daud rahi hai ek tarang

Nazrein dhoondein tujhko faqat

Sharmila dil ka hai rang

Kehti hai har ik yeh kiran...

Aa ri sajni pyaar karein hum..!

Aa ri sajni pyaar karein hum..!

Rukh se hata ley yeh chilman

Baahon mein dede tu sharan

Zulfon ko karne de raas

Neinon ko karne de ghaban

Jaag na jaaye poora chaman...

Aa ri sajni pyaar karein hum..!

Aa ri sajni pyaar karein hum..!

- Khan M. Asim... 30/06/2011... 7:56AM!

Wednesday, June 29, 2011

Naari!


Kaun? kahan ki abla naari??

Har kaniya hai yan vishdhaari

Jannat vannat khwaab ki baatein

Yeh hai poori "naar" se naari!

Iss ka har ik amal tijaarat

Baat kare sab saahu-kaari

Badi kashish aur badi chamak hai

Ishq karey hai yeh do-dhaari

Duniya aalam go hain sab ke

Ban beithi yeh malika saari

Nafas nafas mein khud ki chahat

Bhaad mein jaaye duniya-daari

ASIM kab se taak mein thi woh

Aur tum ban beithe aagya-kaari!

- Khan M. Asim... 27/06/2011... 12:50AM...Meerut!

Friday, June 10, 2011

Phir bhi hoslon mein dum hai!


Justuju ko raasta kum hai

Phir bhi hoslon mein dum hai

Wajud mein uske jhonk di duniya

Zindagi uski zulf ka khum hai

Hum ne kar di ulfat tamam uske naam

Kiska tujhko aye jahaan ghum hai

Raahein takti hain uski aamad ko

Har saher phool har num hai

Poochte hain woh chai paani ko

Kaun sa jaam yeh jum hai

Chod di duniya aaaj phir ASIM

Aaj phir haath mein sum hai!

- Khan m. Asim... 09/06/2011... 2:20PM!

Wednesday, June 08, 2011

Phir usi paththar ki khaatir


Phir usi paththar ki khaatir

Ho raha dil aaj kaafir

Kho gayi hain jis mein nazrein

Hai bahut woh cheez shaatir

Paa hi lenge usko rabb se

Aarzu aur dil yeh qaasir

Manzil uski raah bhi chunli

Dagmagayein qadam yeh faatir

Chid chuka ik jihad dil mein

Mein shikasta aur woh jaabir

De rahey hain humko dhakkey

Mehfilon mein uske zaakir

Koi ASIM hai chaman mein

Kaisa gul aur kaun taahir!

- Khan M. Asim... 07/06/2011... 2:35AM!

Monday, June 06, 2011

Aa gaya dil mein koi lutera hai!


Aa gaya dil mein koi lutera hai

Perahan phir taar taar mera hai

Oudh-li ho jaise kamli aas ney

Cha raha har simt yun andhera hai

Dhundti hain jisko nazrein raat bhar

Dhundlakon mein ek uska chehra hai

Satpataye jaise ta-ir jaal mein

Iss tarah se mushkilon ne ghera hai

Puchti hain geeli aankein hum se yeh

Har jagah kyun aansuon ka dera hai

Qatal karne mein qabahat kya usse

Rindiyon se rukh jo shah ne phera hai

Chal rahe hum dhoondte uss raah ko

Jo manzilon ka aakhri basera hai

Dekh ley ASIM alaamat hain bahut

Warna yaan pe kaun dost tera hai!

- Khan M. Asim...06/06/2011... 08:46PM!

Friday, June 03, 2011

Saawan ki hai pehli baarish...!


Saawan ki hai pehli baarish

Jaag rahi hai mann mein khwahish

Hum tum milkar raas rachayein

Dil karta hai bas yeh sifarish

Saawan ki hai pehli baarish...

Jaag rahi hai mann mein khwahish!

Aaja jaanam baagh hain khaali

Rut hai aayi yeh matwaali

Aankhon se peimaana bhar dey

Honton ki dede tu laali

Aa mein kar dun teri sataish...

Saawan ki hai pehli baarish...

Jaag rahi hai mann mein khwahish!

Chidye kheilein aankh micholi

Mitti khel rahi hai holi

Bhanvrey meethe geet hain gaate

Aaja tu bhi ohh Humjoli

Kar dein hum bhi dil ki numaish...

Saawan ki hai pehli baarish...

Jaag rahi hai mann mein khwahish!

Geela geela yeh mausam hai

Aaj khushi se ambar nam hai

Jhoom rahe hain paagal baadal

Patton ki paayal cham-cham hai

Tu bhi kar ley husn-o-zebaish...

Saawan ki hai pehli baarish...

Jaag rahi hai mann mein khwahish!

Aaja naachein mor hon jaisey

Yun chup jaayein chor hon jaisey

Magan rahein hum ik-dujey mein

Yun phans jaayein dor hon jaisey

Dil karta hai yeh farmaish...

Saawan ki hai pehli baarish...

Jaag rahi hai mann mein khwahish!

- Khan M. Asim... 02/06/2011... 6:55PM! Began writing it with the first drops of this rainy season!