Tuesday, January 31, 2012

Pehla Gulab..!

Tu ne jo chua toh dil yeh begaana hogaya
Dekh le o jaanejaan ASIM diwaana hogaya
Tera gulab dil ka jawab mujhko kia yun lajawab
Khushi ka haan meri thikaana kho gaya...
Dekh le o jaanejaan ASIM diwaana hogaya..!
- Khan M. Asim... 27/03/2008... 06:10PM... feeling nostalgic... first meet!

Monday, January 30, 2012

Amrit Manthan!

Yun dard basa hai saanson mein har aah pe aahein bharta hun
Hai shaam abhi mehki mehki kuch aur zara pal jeene de
Haan amrit manthan ho jaaye tu baahen aise phaila de
Kuch jaam zara tu bhi peele kuch jaam mujhe bhi peene de! 
- Khan M. Asim.. 10:45 PM 28/04/2008!

Friday, January 27, 2012

Izmehlaal

Zindah hi aaon tujh mein ya murda bata lahed
Murdon ke iss shaher mein jeena muhaal hai
Bas dekh li numaish dunyae khush-numa ki
Aakhir ko inn labon pe tera sawaal hai
Ab kis tarah nadamat sitamgar se kijiye
Apna hi naghma naghma pur ishtiaal hai 
Ik saltanat hai jis mein haakim hai ik faqeer
Badyagaro sa rakhta woh bhi khayaal hai 
Kuch log iss jahaan mein bante hain paarsa
Na jaane kis qabeel se inka nikaal hai 
Likh kar ghazal huwe hain raahat muqaam ab
Tabkheer ho raha hai jo izmehlaal hai 
Hum ko mita sakey jo apne jalaal se
Kis ki jahaan mein ASIM itni majaal hai! 
- Khan M. Asim... 27/01/2012... 12:50PM!

Thursday, January 26, 2012

!!**Happy Republic Day**!!

Gautam huwey yahin pe Mahavira aur Ram 
Paida huwey yahin pe Azad aur Kalam
Gang o Jaman asasa Himalaya hai iski shaan 
Aye HIND teri mitti ko dil se mera salam! ASIM 
!!**Happy Republic Day**!!

 

Wednesday, January 25, 2012

Rehna hai saath rahiye warna toh jaiye

Rehna hai saath rahiye warna toh jaiye

Lekin khudaa ke vaaste dil na dukhaiye

Yeh berukhi bhi thik hai khamoshi bhi thik hai

Hum ko hamari bhool bhi lekin bataiye

Dushman hain beithe taak mein mitaane ko humko bas

Aashiq pe apney aap na khanjar chalaiye

Masaley hazaar denge zamaane ke pehredaar

Beja kisi bhi baat par na aansoo bahaiye

Sab kuch pada hai saamne marzi hai aap ki

Gul ko uthaayein aap ya kaante uthaaiye

Dil ke utaaq mein hai khaaka hamara gar

Dil se nikaal dijiye ya hum ko sajaiye

ASIM diwaana aap ka qadmon mein aap ke

Chaahe karein adaavat ya apna banaiye!

- Khan M. Asim... 25/01/2012... 1:50 AM!

Sunday, January 22, 2012

Malaria


Yeh kaisi agan hai, yeh kaisi jalan hai

Jahan haath rakkhun chubhan hi chubhan hai

Yeh honton ka sookha, luwabon ki turshi

Aatish-fishaan sa phatey bas zahen hai

Na hi daal, sabzi na burger na pizza...

Na hi gosht khaane ki ab kuch lagan hai

Bada kadwa kadwa yeh jannat ka phal hai

Gardish mein lagta yeh poora chaman hai

Agli sadi mein hukumat kareinge...

Bada tez dekho yeh inka mission hai

Dasa jisne humko hai woh sinfe nazuk

Aurat kasam se bas koh-shikan hai

Shikayat karein ab kya machchar se ASIM

Badaa hi raseela yeh apna badan hai!

- Khan M. Asim... 21/01/2012...11:54 PM! Uss machchar ke naam jisne mujha kaatha tha!woh bhi kya yaad karega kisi shayar se paala pada tha!

Monday, January 16, 2012

Zindagi..!


Buzurg taare,

Boodha aasmaan,

Naujavaan phool,

khushboo aur tum!

Ab iske aagey,

Haale dil na poocho..

Kehne ko gulshan hai

Magar,

Zindagi ke veeraane mein

Na hajar hai

Na shajar hai

Ik wasih khila sa hai

Bilkul taareek

Kisi murdah sitaare ki tarah

Ab na sawan mein maza

Ab na bhadon mein jaza

Oobad khaabad,

Khandar jaisi zindagi,

Kehne ko rangeen,

Magar

Berang si,

Berabt si,

Beqaabu si,

Zindagi..!
- Khan M. Asim... 16/01/2012... 4:45PM!

Saturday, January 14, 2012

Aye kaash humein woh mil jaaye


Aye kaash humein woh mil jaaye

Aakaash pe jiska charcha hai

Jisey dekh farishtey hain haasid

Bhagwaan diwaana phirta hai!

Uss sang le mausam angdayi

Usse dekh sitaare jalte hain

Woh range baharan ka mubda

Usse dekh ke gul yeh khilte hain

Uss ek ka sehra hai tishna

Jisey dekh ke baadal garja hai...

Aye kaash humein woh mil jaaye

Aakaash pe jiska charcha hai!

Bas ek wahi manzoore nazar

Qudrat ko us pe hai fakhar

Hai jalwah uska nagar nagar

Aasaan nahin par uska safar

Uss ek se behro bar mein jaan

Usse dekh ke dariya chalta hai..

Aye kaash humein woh mil jaaye

Aakaash pe jiska charcha hai!

Uss ek se din mein rawaani hai

Har ek woh dil ki kahaani hai

woh ek yagana o yakta

Na koi uss ka saani hai...

Asim bhi ajab deewana hai

Din raat ussi pe marta hai

Aye kaash humein woh mil jaaye

Aakaash pe jiska charcha hai!

- Khan M. Asim... 14/01/2012... 01:27PM!

Tuesday, January 10, 2012

Satlaj

Satlaj ek nadi hai
khwabon ki
khayalon ki
Adaon ki
jiski har laher mein ik afsana hai
Jiska har shakhs diwaana hai
jo kabhi kisi tasveer se jhankta hai
kabhi kisi nazm se pukarta hai
Har laher anokhi hai
Har lafz yagana hai
Ek aashiq bhi hai
Shedaai bhi
Jo ke dost bhi hai
Bhai bhi...
dua hai tum raho aabaad
har lamha tum raho shadaab
Zindagi yun hi muskurati rahe
Aur tum bhi...
Satlaj Rahat! Khan M. ASIM... with love...!10/01/2012... 12:30PM!