Saturday, June 30, 2012

Ittela..!

Baat unko buri lagegi phir 
Sawal mera wahi purana hai 
Khabar humko muqam Ki dedo 
Jao tumko jahan pe jaana hai 
Jung lafzon se tal bhi sakti hai 
Shart yeh hai ke muskurana hai  
Ek paigham humko de zaalim 
Kyun taghaful se dil jalana hai  
Hum Jo bolein badi pade aafat 
Unka andaaz kaafirana hai 
Muntazir hun jawab ka unke 
Faisla bhi haan munsifana hai 
Yun toh ghusse se laal hai Asim 
Phir bhi andaaz shairana hai! 
- khan m. Asim... 29/06/2012... 12:50 pm!

Wednesday, June 27, 2012

Hosh kabka ganwa chuka hun mein!

Hosh kabka ganwa chuka hun mein

Chashm apni utha ke tum dekho

Baat bas ishq par nahi tikti

Husn apna ganwa ke tum dekho

Ishq kaamil hua humein jaana

Chand lamhe bita ke tum dekho

Jaan jaoge kaun hai ASIM

Hosh apne ganwa ke tum dekho!

- Khan M. Asim... 27/06/2012... 02:15 AM!

Monday, June 25, 2012

Dil ke jalte sholon ko yahan kaun bujhaye!

Basti jalti lapton ko sab log bujhane aaye
Dil ke jalte sholon ko yahan kaun bujhaye!

Mann ki peeda mann ke bheetar
Mann pagla kahlaye...
Mann kehta hai baat pate ki
Kaun unhein samjhaye...
Basti jalti lapton ko sab log bujhane aaye
Dil ke jalte sholon ko yahan kaun bujhaye!

Jug ki baatein jug hi jaane
Jug ke khel niraaley
Jab padti hai ek musibat
Baat se baat nikaley
Raat ke aansu raat ki uljhan
Kaun unhein dikhlaye
Basti jalti lapton ko sab log bujhane aaye
Dil ke jalte sholon ko yahan kaun bujhaye!

Meelon meelon ghor andhera
Dil ka koi na dera...
Ghoom raha hai saare ban mein
Been uthaye sapera...
Kyun de maajhi kashti unko
Jo hain ghaat lagaye...
Basti jalti lapton ko sab log bujhane aaye
Dil ke jalte sholon ko yahan kaun bujhaye!

Kaisi chahat, kaisi mohabbat
Waqt se jo darr jaaye...
Preet milan ki qasam hai khayi
Phir kyun jiya ghabraye...
Hamjoli hain usko kehte
Jo pal pal saath nibhaaye...
Basti jalti lapton ko sab log bujhane aaye
Dil ke jalte sholon ko yahan kaun bujhaye!

Ghoom raha hai yunhi raahi
Na manzil koi na rasta...
Jitni unse aas lagaye
Hosley aur shikasta...
Hum jaise dilwaalon ko
Kaun haath badhaye...
Basti jalti lapton ko sab log bujhane aaye
Dil ke jalte sholon ko yahan kaun bujhaye!

- Khan M. Asim... 25/06/2012... 12:25 PM!

Saturday, June 23, 2012

Husn se yaari Hui hai!

Husn se yaari Hui hai
Zindagi bhari Hui hai
Raat bhar jaage rahe
Bekhudi taari Hui hai
Hijr ye bas ik musalsal
Kya wafadaari Hui hai
Ishq jumla wahima ik
Bas adakaari Hui hai
Dushmano ko dost mana
Khoob ayyaari Hui hai
Saath apne umr bhar hi
Jamke ghaddari Hui hai
Dekh kar girdo nawah ko
Hum ko bezaari Hui hai
Mar chuke h dekhkar sab
Ab toh bedaari Hui hai
Maut Asim kya bala hai
Zindagi jaari Hui hai! 
- Khan M. Asim... 21/06/2012... 05:30 AM!

Tuesday, June 19, 2012

Jab se tum se dillagi ki hai

Jab se tum se dillagi ki hai
Aarzoo humko zindagi ki hai

Har paher teri justuju
Aur labon pe Tishnagi si hai

kat rahin jun tanha raatein
Shaakhe dil pe bekhudi si hai

Saath tere hain, saath tere bhi nahi
Ik khushi bhi hai bebasi bhi hai!

Khan M. Asim... 18/06/2012... 9:15 PM!

Monday, June 18, 2012

Mohabbat raat jaagi, Judai ke sahaare!

Kabhi yaadein tumhari kabhi sapne tumhare
Mohabbat raat jaagi, Judai ke sahaare

Kabhi aaghosh mein the kabhi dil mein tumhare
Yeh doori kis ne likh di muqaddar mein hamare

Haan khwahish har buri hai teri chahat bhali hai
Na kaabu ab khudi pe bekaabu hain sitaare

Tumhare naam likh dun mein apni zindagani
Mohabbat ki hai tum se huwe dil se tumhare

Mahekta phool tum se ghata yeh zulf jaana
Tumhara naam khushbu tumhi se sab nazaare

Zara batla tu hum ko, kahan insaaf hai yeh
Tadapti tu kahin hai mare yaan hum kunware

Milo ik baar aake kabhi khamosh hum se
Kaha Asim ne kya hai zara samjho ishaare!

- Khan M. Asim... 18/06/2012... 04:40 AM!

Friday, June 15, 2012

Baat uski jahaan nikalti hai

Aarzu dil mein phir machalti hai

Saath jab bhi mere woh chalti hai

Yaad rakhti hai raaz sab gehre

Baat uski jahaan nikalti hai

Raat chup hai meri behali pe

Shaam tanha yunhi jo dhalti hai

Aaj khush ho bahut mere hero

Baat se baat yun badalti hai

Aankh palkon mein doob jati hai

Zulf rukhsaar pe tahalti hai

Baat chedein jo hum koi apni

Phir na alfaaz se bahelti hai

Tang kitna hai pyaar mein ASIM

Sang jugnu ke raat jalti hai!

- Khan M. Asim... 15/06/2012... 03:25 AM!

Saturday, June 09, 2012

Ishq yaktarfa raha..!

Ishq yaktarfa raha aur waqt hansta raha

Rote rote lamha lamha hasti apni mit gayi

Hum mile hi kyun agar humko juda hona hi tha

Sochte hi sochte yun raat saari kut gayi

Tum ghalat ho, ishq ab diwaangi bilkul nahin

Dheere dheere woh sanam raahe dil se hat gayi

Usko humne dil se chaha yeh gunah humse huwa

Aur phir humpe yunhi ik qayamat ghat gayi

Jab khuda ne dena chaha maang tu bande mere

Ishq bas hum ne chuna aur daulat bat gayi

Tumko dil mein ghar dia aur rahe bedaar hum

Humne bhi jab pyaar manga aankh phir kyun phat gayi

Yun bhi huwa hai doston ishq mein hum pe karam

Asim ghazal likhte rahe aur woh natkhat gayi!

- Khan M. Asim... 09/06/2012... 04:03 AM!

Thursday, June 07, 2012

Aao pyaar karein..!

Mausam pyaar ka hai jaana

Aao pyaar karein..

Nainon se naina chaar karein

Aao pyaar karein..!

Phoolon ki khushbu se khelien

Anbar ka neelapan lelein

Kaliyon ki shokhi ko chura lein

Nadiya ki maujon ko uda lein

Badal se badal waar karein

Aao Pyaar Karein..!

Meethi meethi baatein dildaar karein

Honton se dil gulzaar karein

Aisa ho kuch kho jayein lamhe

Chaahat ka sab izhaar karein

Haan pyaar ka iqraar karein

Aao pyaar karein..!

- Khan M. Asim... 07/06/2012... 5:28PM!

Monday, June 04, 2012

Zindagi jahannum aur maut bhi na aave hai..!

Kaam koi howe na, aas dagmagave hai,

Zindagi jahannum aur maut bhi na aave hai

Kuch toh kar mere maula, baat sun mere maula

Kyun jahaan mein iss tu ne dard ka haan dar khola

Raat toh guzarti hai sahar par na aave hai

Kaam koi howe na, aas dagmagave hai,

Zindagi jahannum aur maut bhi na aave hai..!

Dard ka chalan lamba, pehle hi woh kya kum tha

Jo khaak mein mila meri, aadmi woh rustam tha

Saare hosley toote, jism charmarave hai

Kaam koi howe na, aas dagmagave hai,

Zindagi jahannum aur maut bhi na aave hai..!

Kya gila karun tujhse, Jo mila hai sab tera

Dard aur aansoo ko, hukum bhi huwa tera

Teri khush khayali ka hukum kyun na aave hai

Kaam koi howe na, aas dagmagave hai,

Zindagi jahannum aur maut bhi na aave hai..!

Bakhabar bahut hai tu, kya tujhe khabar bhi hai

Kya meri duaon mein yeh bata asar bhi hai

Ya meri navaa saari yunhi laut aave hai...

Kaam koi howe na, aas dagmagave hai,

Zindagi jahannum aur maut bhi na aave hai..!

- Khan M. Asim... 04/06/2012... 02:02 AM!

Saturday, June 02, 2012

Dil mein Teri chahat..!

Dil mein Teri chahat


Honton pe Tera naam


Hone lagi ik halchal


Jaanejaan subha shaam..!


Sookha sookha mein sehra


Tishna tishna mein thehra


Karta aankhon pe Teri


Kajal ka gehra pehra...



Tujhko hi pahunchein raahein


Tujhse hi mujhko har kaam...


Hone lagi ik halchal


Jaanejaan subha shaam


Dil mein Teri chahat


Honton pe Tera naam..!


Ithlaati Teri adayein


Mausam ko naghma sikhayein


Zulfon se hoke aayein


Madhosh yeh saari hawayein


Teri aankhon mein jeeta


Qudrat ka intezaam...


Hone lagi ik halchal


Jaanejaan subha shaam


Dil mein Teri chahat


Honton pe Tera naam..!


Tu ne Chua jo mujhko


Chalka chahat ka jaam


Meetha meetha sa karde


Ulfat ka tu anjaam


Teri yaadon ne tarasha


Yeh shayar gulfaam..


Hone lagi ik halchal


Jaanejaan subha shaam


Dil mein Teri chahat


Honton pe Tera naam..!


- Khan M. Asim... 01/06/2012... 10:30 PM... Train..!