Tuesday, April 30, 2013

Sharmeela Chaand..!


Dil, tanhayi... 

Aur raat ki yeh rut jawaan

Matla abar aalood 

Aur sharmeela chaand

Sawaal karte jugnu

Jawaab deti raat raani

Chaman ki khamoshi

Gulon ki udti hui mahek

Halki halki baade Saba 

Aur raahon ke charaagh

Sabhi muntazir hain...

Aaja ke Tera intezaar hai

Aaja ke dil yeh beqaraar hai

Aaje apne ishq, apne yaar ke liye

Aaja mausame bahaar ke liye

Aaja, falak mein parwaaz karein

Zulfon ke saaye mein

Yeh pal guzaar dein! 

Khan M. Asim... 29/04/2013... 11:23 PM!

Friday, April 19, 2013

Pattharon ke seeney mein ek dil bhi hota hai..!


Pattharon ke seeney mein ek dil bhi hota hai
Tu bata mujhe dilbar, kya kabhi tu rota hai..
Raah chalte chalte jab raasta bhatak jaaye
Mein kahin milun tujhko kya kabhi yeh hota hai
Tu bata mujhe dilbar, kya kabhi tu rota hai.. 
kya kabhi tu rota hai.. kya kabhi tu rota hai.. 
Pattharon ke seeney mein ek dil bhi hota hai..!

Saanson mein basi teri haan mahek rulati hai
Kya kahein sanam teri, yaad hum ko aati hai
Mushkilon ke saaye mein apna yeh safina hai
Sach kaheinn humein dilbar zindagi satati hai
Zindagi satati hai, zindagi satati hai...
Har paher humein tera intezaar hota hai...
Pattharon ke seeney mein ek dil bhi hota hai
Tu bata mujhe dilbar, kya kabhi tu rota hai..
Pattharon ke seeney mein ek dil bhi hota hai! 

Chaandni pareshaan hai, har sitara hairaan hai
Jugnuoun ko lagta hai.. raat raani naadaan hai
Haan unhein bata de ab... yeh ajab fasana tu
Kyun bhala sanam tera aaj tujh se naalaan hai
aaj tujh se naalaan hai, aaj tujh se naalaan hai
Ter saari baaton mein kyun zamana khota hai
Pattharon ke seeney mein ek dil bhi hota hai
Tu bata mujhe dilbar, kya kabhi tu rota hai..
Pattharon ke seeney mein ek dil bhi hota hai! 

Khan M. Asim... 19/04/2013... 04:27 PM..!

Wednesday, April 17, 2013

Ek titli..!


Ek titli,
Mukhtalif rang ki,
Mukhtalif khayaal ki,
Chaman se beparwah
Na kisi se zid
Na koi hasad,
Jis daal pe beithi 
Munawwar kardi..
Uske hosley uski udaan
Uska maqsad uski pehchaan
Ek din woh chaman se nikli
Aur pahunch gayi jungle mein
Badey badey darakht
Ajeeb si tareeki, sannata
Jitna udey...
Utna hi ooncha aasmaan
Dasht ki raatein siyah
Na chaman si rangeeni
Na chaman si chaandni
Uske laghar, maheen par
Thak kar choor
Magar uska jazba
Lafaani, lamehdood
Woh jaanti hai
Iss dasht se aage ek chaman bhi hai
Jahaan sirf uski hukumraani hogi
Aaj iss dasht mein
Kahin bhediye to kahin saanp hain
Woh sab se khud ko bachati
Apne gulzaar ki aur chal rahi hai 
Kajal ke bheetar 
khwaab ko seenchte
Masoom titli,
Aablon se ladh rahi hai
Aur aage badh rahi hai..! 
- Khan M. Asim... 17/04/2013... 05:04 PM! Dedicated to Arpita Sarkar.. :)

Sunday, April 14, 2013

Magar phir bhi yeh daava hai ke mujhse pyaar karti hai..!


Mujhe bechain karti hai, mujhe betaab karti hai
Magar phir bhi yeh daava hai ke mujhse pyaar karti hai
Kabhi lagtii hai woh apni kabhi hai ajnabi pal mein 
Meri saanson ki dushman woh sada takraar karti hai...
Magar phir bhi yeh daava hai ke mujhse pyaar karti hai..!

Hidayat gar usse kar dun adavat par utar aaye
Tamanna aarzoo dil ki mahez kaghaz mein bhar paaye
Misaalein chaand ki dun toh khafa ho ke woh itraye 
Nigahein yun banati hai, bechara dil hi dar jaaye
Bahut gehri hai woh ladki, samandar ek woh ladki
Magar kitna talatum ho woh bedhapaar karti hai
Mujhe bechain karti hai, mujhe betaab karti hai
Magar phir bhi yeh daava hai ke mujhse pyaar karti hai..!

Mujhe kehti beghairat hai mujhe sunke yeh hairat hai
Go meri dastaras mein hai magar aakhir ko aurat hai
Mere alfaaz hain shusta, mere khayaal hain pukhta
Bhale kangaal hun lekin zamaane bhar mein izzat hai
Shikayat par nahin us se, ke ghumgusaar bhi hai woh
Jahaan itna satati hai... haan mera pyaar bhi hai woh
Magar baaton hi baaton mein mujhe bezaar karti hai
Milan ki aas mein hon jab woh pal bekaar karti hai
Mujhe bechain karti hai, mujhe betaab karti hai
Magar phir bhi yeh daava hai ke mujhse pyaar karti hai..!

- Khan M. Asim... 14/04/2013... 01:46 AM..!

Monday, April 08, 2013

Bahut majboor hun mein..!


Bahut majboor hun mein
Bahut ranjoor hun mein
Mohabbat mein pada jo
Haan ghum se choor hun mein..! 

Mujhe dushnaam karke
Mujhe neelaam karke
Bahut khush hai woh zalim
Mujhe badnaam karke
Woh shohrat pa gayi toh
Woh yeh kyun bhool beithi
Nahin gumnaam hun mein
Bahut mashhoor hun mein! 

Nasha daulat ka kaisa
Zamana jab hai faani
Karegi tab kya zaalim
Na hogi jab jawaani
Usse jaake yeh keh do
Nahin mafroor hun mein
Nahin toota abhi tak
Bahut maghroor hun mein! 

Adavat kar rahi hai
Mere dil mein sama ke
Kyun mujhse bhaagti hai
Mere armaan jaga ke
Bhaley ranjoor hun mein
Magar masroor hun mein
Faqat itna sa ghum hai
Ke usse door hun mein!

- Khan M. Asim... 08/04/2013... 08:36 PM!