Khwab dar Khwab..!
Na jaane raat bhar
Khwabon mein kaun kaun aata hai
Koi dabeez sa budha
Koi maflukul haal
Kisi ka daalkhana gul
Kisi ki jabeen sapaat
Koi mujhko maar deta hai
Koi mujhse maar khaata hai
Kahin door uftaad sehra mein
Ik Ameriki club bhi hai
Sar pe Hat
Paon zeen mein pewast
Chala mein cowboy...
Ird gird haseenayein revolver taane
Kar rahi hain shikaar
Kisi ka jism Kaano tak dhaka
Koi neem uryaan raqs mein masroof
Pal mein manzar badal gaya goya
Saamne Firaun ka lashkar
Jaadugar sanpoley chodte hain
Kahin se ik asdaha aakar
Nigal jaata hai un sabko
Woh kehte hain kaun hai Moosa?
Mein chillaya
Nabi hain nabi hain...
Hua mein teer se chalni
Pada hun bheeshm pitama jaise
Na jaane phir kahan se
Woh Mehluqa namudaar hoti hai
Ghani zulfein, Jabeen zohra
Jawaan dilkash haseen chehra
Nigaahein chaar ki usne
Sarapa barq ho goya
Mein tool o arz mein khoya
Badi muskaan se usne
Uthaya mujhko teeron se
Udi lekar mujhe baah mein
Kisi tareek goshe mein
Achanak roshni har sun
Husn baano woh itrati
Badaste mann machalti woh
Bom si phisalti woh
Idhar karvant udhar karvant
Paseena choor bistar bas
Utha hun sochta kab se
Khwab dar khwab kaise hain
Yeh kaisi zindagi apni
Haan isse khwaab hi behter
Chale jao yahan se sab
Mujhe ab aur sone do..!
- Khan M. Asim... 23/05/2014... 11:06 AM..!