Wednesday, July 16, 2014

Neend palkon tak aake laut jaati hai..!

Ajab safar hai yeh khilaon ka
Ek jumood hai khayaalon ka
Zeest se toote, ruh se bezaar
Lamha lamha hai koi aazaar
Jis simt bhi soch jaati hai
Baazgashton se ghabra jaati hai
Uff yeh khoonrez tasadum
Uff yeh toofaan o talatum
Bahut aasebi utaaq ke koney
Khauf zadah firaaq ke roney
Ajeeb dastoor hai ajeeb hai manshoor
Kaisi hai duniya kya batayein huzoor
Uski zulfon ke geet gaati hai
Apne mann ki faqat chalati hai
Bemurravat o be sibaat hoti hai
Jab uske aanchal ki baat hoti hai
Huqooq-e-niswaan ki baat karte hain
Khud hi pa-maal bhi toh karte hain
Nazar karti hai ta-kub kawakib ka
Pet bharta nahin dil-e-raaghib ka
Usne bahut pyaar se kaha tha abhi
Raat kaafi hai tum bhi so jao abhi
Dil-e-nadaan ko kaun samajhaye
Shabgazeedah yeh kaise so jaaye
 
Abhi khwaabon ki taabeer baaqi hai
Abhi imarat ki taameer baaqi hai
Ek zanjeer baandhe rakhti hai
Ek uljhan si rokey rakhti hai
Zeest andheron mein chot khaati hai
Neend palkon tak aake laut jaati hai..!

- Khan M. Asim... 16/07/2014... 01:17 AM..!

Friday, July 11, 2014

Palestine..!

Aye Arz-e-Filasteen
Humko teri azmat ki kasam
Tere aanchal pe bahey
Har ik khoon ke qatrey ka badla lenge
Khoon se latpat...
Tere masoom itfaal ka badla lenge
Maa, behno ki asmat ki kasam
Unke jalte huwe rukhsaar ka badla lenge
Khoon behna hi agar taqdeer hai toh phir
Sirf Gaza hi nahaye kyunkar
Tel Aviv ki shahraon ko aag laga denge hum
Khoon sookha nahin, Jism murda nahin
Abhi duniya mein Muhammed ke deewane bhi hain
Kashtiyaan apni jalane ko Tarique se jiyale bhi hain
Teri taqdeer bulati hai ek Saladin phir se
Toh na darr kuffaar ke lashkar se haram
Hum bachayenge tujhe Baitul Muqaddas ki qasam
Aaj woh hain toh uchalne de unhein taqat pe
Kal woh royenge apni isi aadat pe
Kab bhala zulm ko qudrat ne puchkara hai
Yeh jo takleef hai haqeeqat mein kuffara hai
Ghuroor tootega bahut jald adu ka tere
Poori ummat hai khadi saath ruku mein tere
Yeh jo pasti hai asal mein hai fateh ka zamin
Aah bharta hai tere dard pe har ik momin
Dekh Allah ne bakhshi hai tujhe kitni azmat
Bait-e-Ibrahim tu, qiblae oola tu hai
Haan nahin paas tere
Phir bhi hain saath tere
Hum bhala kaise tujhe yunhi bhula sakte hain
Door reh kar bhi teri aan pe jaan luta sakte hain
Neest o nabood bahut jald Israel o haami honge
Dekh mit jayenge jug se yeh jitne bhi haraami honge
Hum bhi roye hain namazon mein tere haal ko dekh
Woh chaalbaaz hai, toh Rabb ki chaal ko dekh
Aasmaano se Gibrael ki sada aayi hai
Yeh jo Gaza mein marta hai tera bhai hai
Kya kehta hai woh masoom farishta sun lo
Khoon se badhkar hai imaan ka rishta sun lo
Hum ladenge, toh jeetenge yeh faham aayi hai
Haan duaon mein teri hifazat ki qasam khayi hai..!

- Khan M. Asim... 11/07/2014... 11:40 PM..!

Thursday, July 10, 2014

Mujhko tujh se pyaar hai aye mere parvardigaar..!

Aasmaano ki bulandi aur mein thehra khaaksaar
Mujhko tujh se pyaar hai aye mere parvardigaar


Ik diye ko noor de kar aalam Kia tu ne bedaar
Meher o maah saqib kawakib sab hain tere shahkaar


Dhadkanein tujhse jawaan aur lahoo tujhse rawaan
Tu wajah taskeene dil ki tujhse chaman mein hai bahaar


Tujhse shagufta gul huwe sab muskai tujhse shabnamein
Har kali naghma Sara Teri qataar andar qataar


Mujhko aala zarf kar de mujhko iqra harf kar de
Bakhsh mujhko sab inayat hun mein tera taabedaar


Pastiyaan nabood kar de aur kaamraani humsafar
Mushkil kusha bas ek tu hai bas ek tu ba-ikhtiyaar


Ek adna sa mein shayer aur bhala Asim hai kya
Hai mera ik dost bas tu ik tu hi mera raazdaar..!


- Khan M. Asim... 08/07/2014... 06:20 PM.. Train..!

Tu pardey khol le pyaare..!

O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare
Aqal ke, shakal ke...
Tu pardey khol le saare
O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare..!

Na samjha hai na samjhega
Ke tu nadaan hai pyaare
O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare..!

Yeh duniya hai tu samjha kar
Wagarna khaiyega thokar
Khadi aksar imarat hain
Yahan par dekh laashon par
Nigaah o chashm ke pyaare
Tu pardey khol le saare
O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare..!

Lagakar aankh mein surma
Churati dil hain mohtarma
Zara sun toh sahi pyaare
Ke kya kehti hain mohtarma
Nazar na pheir tu pyaare
Nigahein chaar kar pyaare
Tu pardey khol le saare
O pardey khol le pyaare
Tu pardey khol le pyaare..!

- Khan M. Asim... 06/07/2014... 11:12 PM..!

Friday, July 04, 2014

Zindagi insaan ko yeh daur bhi dikhati hai..!

Zindagi insaan ko yeh daur bhi dikhati hai
Bade logon ki mehfil mein barhana nachati hai

Khwahishon pe gar iski jaan kar dein nazrana
Phir bhi bewafa dekho kaise hichkichati hai

Umar bhar ka yaarana, dardmand kehlana
Aur palon mein dekho toh ajnabi batati hai

Mehfilon mein iski sab masnui chehre hain
Yun toh hai kahani kuch aur kuch dikhati hai

Kya kahein isey Asim zindagi chalava hai
Bewajah hansati hai, bewajah rulati hai..!

- Khan M. Asim... 03/07/2014... 06:40 PM.. Train..!