Sunday, August 03, 2014

Pasti..!

Zara si pasti dekh kar daman kinara kar lia
Haath chudakar usne ab gheron ka Sahara kar Lia

Itna bharosa bhi nahin qasam hain khaate pyaar ki
Jhukna badi alamat hai achche shikaar ki

Duniya nazar hai aa gayi kunwe ki gehrai mein
Socho kya hota Asim gar girte andhi khai mein!

- Khan M. Asim... 01/08/2014... 05:47 AM..!

Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

Tumko hamari deed ki fursat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

Beja kisi kyun aur ko dushnaam kijiye
Mehfil mein naam lijiye badnaam kijiye
Dil-e-naatwan mein dard ki quwwat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

Ke dil lagi se ab tum bezaar hogaye
Hum pyaar pyaar karte bekaar hogaye
Izhaare ishq ki bhi himmat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

Tum toh sukoon se khoye ho khwaab mein
Hum ko saza mili hum hain azaab mein
Kya ab mohabbaton mein qurbat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi
Tumko hamari deed ki fursat nahin rahi
Yeh kyun nahin ho kehte ulfat nahin rahi..!

- Khan M. Asim... 24/07/2014... 11:40 PM..!

Shayeri hum pe nuzool hoti hai..!

Aap ke nazdeek fuzool hoti hai
Shayeri hum pe nuzool hoti hai
Yeh toh daulat hai ilm walon ki
Bas dua hamari qubool hoti hai! 
- Khan M. Asim... 24/07/2014..!

Yeh ranj o alam ke afsaane..!

Yeh ranj o alam ke afsaane
Yeh tishna tishna deewaane


Koi dekh le ek nazar humko
Aatish mein paley hum parwaane


Ghaflat Yeh taghaful theek nahin
Hum koi tere hain begaane


Ehsaan hai Yeh Tera hum par
Ke tu humko hai pehchaane


Makhmoor hain Teri baaton se
Kehne ko bahut hain mekhaane


Tujhe milna hai toh aaj hi mil
Kal kya hoga koi kya jaane


Yeh dard ke lamhe hain taskeen
Asim na bano tum anjaane..!


- Khan M. Asim... 23/07/2014... 12:48 PM..!

Saiyyaad se shikwah kya karna..!

Beithe hain qafas mein khud aa kar
Saiyyaad se shikwah kya karna


Jo beiche khudi ko daulat mein
Uss shakhs ka kya jeena marna


Himmat hi nahin ke lalkaarein
Dushman se phir kaisa ladhna


Hum haath kata kar beithe hain
Phir tegh o sipar ka kya karna


Manzil ko kabhi hum nikle the
Woh teir ke dariya sar karna


Dushman ki safon ko rondh dia
Woh marde momin ka ladhna


Hum aaj ke nadaan hain insaan
Kya hum ko maazi se karna 


Hum sotey peir phela ke hain
Kya hum ko chaadar se karna


Jab aankh khulegi tab Asim
Beith ke aankhon ko malna..! 


- Khan M. Asim... 22/07/2014... 12:34 PM..!

Utho Filasteen ke liye..!

Jab zaalim ke haath dastoor lag jata hai
Tab shuru hoti hai tabahi ki asli dastaan
Mulk, tehzeeb o tamaddun tadfeen hota hai
Jabar, zulm, qatal ki inteha ho jaati hai
Aur jab koi MOZI takht nasheen hota hai
Toh mulk o millat pe azaab hota hai
Hamari na-ahli pe khuda ka qaher hi samjho
Jo usne zaalim ko hum pe musallat kia hai
Marne do, iraqiyon, afghan o filasteeni ko
Marne do Paki, Burmi o Cheeni ko
Marne do iran, shaam o misr ke bashindon ko
Marne do maasoomon ko, lutne do aabruon ko
Kaun hote hain tumhare, tum chain se ho
Ghar mein beith ke jashan manaate raho
Aur jab woh zaalim tumhe zibah karega
Pukaar lena tum bhi apne khuda ko
Magar yaad rahe, woh munsif bhi hai
Uski adalat na bikti hai na jhukti hai
Woh izzat dena bhi jaanta hai aur zillat bhi
Agar Abu Jahel ne zaleel khwaar kia
Tumhare rabb ne usse saza bhi di
Aur jab Turkon ne apni shaan kho di
Toh Maalik ne khilafat hi cheen li
Aakhir kab tak yeh nizaam dahelta rahega
Kab tak dil-e-muslim zulm sehta rahega
Dekho, samjho aur socho
Kaisi pasti mein aa padey ho tum
Aaj koi pursaan-e-haal nahin
Koi sunta koi sawaal nahin
Aisa haakim hua musallat hai
Jisko bilkul koi khayaal nahin
Toh utho apne imaan ke liye
Utho apne deen ke liye
Utho apni zameen ke liye
Utho Filasteen ke liye..!

- Khan M. Asim.. 19/07/2014... 01:20 AM..!

Hijr..!

Tumhari yaad
Bewajah nahin aati
Yeh dhadkanein
Yun hi nahi dahelti
Hijr se khauf aata hai
Yeh atraaf ke gidh
Aur meelon ka safar
Tum, tan-e-tanha
Darr lagta hai
Khuda kare
Tum salamat raho
Tumhe ek bhi gazind
Meri jaan lelegi
Mein intezaar karunga
Tumhari aamad ka
Aankhein num
Aur dil bhara hai
Tum se mohabbat jo hai
Sirf tum se..!
- Khan M. Asim... 17/07/2014... 03:44 AM..!