MOHANDAS KARAMCHAND GANDHI
Yeh kiski khamoshi cheekh rahi hai?
Kaun hai jo waqt ko uda le jaraha hai?
Kaun hai jo mujhe kangaal kar raha hai?
Yeh mere apne hain!
Jo mujhe bhula beithe hain...
Mein HINDUSTAN!
Sazishon ka shikar
Aatank aur khoon ka maidaan!
Meri awaam...
Khoon ki pyaasi!
Birhastachar mein doobi!
Koi masjidon ko dhata hai
Koi mandir ko girata hai
Koi aag ko ugalta hai
Koi aansuon mein jalta hai
Meri virasat neelaam ho rahi hai!
Mera Gujrat jal gaya!
Kia koi isse roknewala hai?
Aaj kaun saamne aayega?
Woh bhi mera hi baasi tha...
Jisne Inquilab laaya tha!
Usne kabhi Hinsa na ki
Woh ahinsawadi tha
Jo satyagrah pe chalta tha!
Jisne dushman ke jhande ukhaad diye!
Yeh wahi awaam hai jo uske saath thi!
Magar...
woh aman ka haami tha
Saadgi se jeeta tha
Rawadaari uska hathiyaar tha!
Woh mujhe kabhi na bhoola...
Woh mera sapoot tha!
Aaj tarraqqi ke iss daur mein...
Kaun hai jo mera saath de?
Kaun inhein ladhte roke?
Kaash aaj Gandhi hota!
Mera apna...
MOHANDAS KARAMCHAND GANDHI!!!
- Khan M. Asim...31/7/2006...12:40 PM...On Dave sir's request...
No comments:
Post a Comment