Yeh kaisi judai hai?
Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?
Yeh ashk bahati hai,mujhe dasht mein laati hai
Sehra mein bhatakta hun yeh kaisi judai hai?
Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?
Har waqt teri mehfil, har waqt tera charcha
Jo aankh khule meri bas dekhun tera rasta
Tu aankh ke pardeh mein, tu dard-e-nihan mera
Tu rooh-e-qalab meri hai jannat nishaan tera
Na jalwa tera dikhe na saaya tera chamke
Teri unn aankhon ne meri duniya hilai hai
Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?
Har waqt mera har pal tera hi lagta hai
Har simt har ik kona tasveer teri lagti
Tu gosht ke reshe mein tu chai ke daane mein
Jo dekhun tujhe dilbar phir bhook nahin lagti
Khwaabon mein aati hai mujhe sote jagati hai
Baahon ka haar bana angdaiyan laati hai
Angdai ne uss teri meri duniya hilai hai
Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?
Woh tera shagufta-pan, dil lootne waala fun
Woh teri aada qaatil, tu zarb mera haasil
Angoor se meethi tu, pur-shokh suraahi hai
Tu husn ka paikar hai, tu shaan-e-khudai hai
Tu meri tamanna hai, tu ek mera maqsad
Woh zulf ka udna tha, toofaan yahan barpa
Iss teri mohabbat ne meri duniya hilai hai
Yeh teri judai hai, yeh kaisi judai hai?
-Khan M. Asim...13/01/2007...9:40 PM...
No comments:
Post a Comment