Sunday, January 20, 2008

!!! ILZAAM !!!


Khud hi inkaar karte ho

Humein ilzaam dete ho

Hum hi hum tumko chahte hain

Humein badnaam karte ho...!

Batao baat yeh humko

Yeh shikwah kyun kya humse?

Jagega kaun raaton ko

Sajaye khwaab kyun tumse?

Hum hi hum tumko chahte hain

Humein badnaam karte ho...!

Kyun dhalti shaam yun roye?

Kyun mehfil shama ko tarse?

Koi saahir agar tum ho...

Kyun sehra aab ko tarse....?

Hum hi hum tumko chahte hain

Humein badnaam karte ho...!

Tumhe kab hai koi parwah

Kisi ki jaan jaaye bhi

Adaay-e-khushnumayi ka

Mujassam tum khuda koi

Hum hi hum tumko chahte hain

Humein badnaam karte ho...!

Humein inkaar kab hai yeh

Tumhi se pyaar karte hain

Bano mohsin bano mushfiq

Zameen ko shabnamein bakhsho

Bano tum naaz gulshan ka

Sarapa aarzu meri....

Na bolo tum yun ithla-ke

Hum hi hum tumko chahte hain

Khud hi inkaar karte ho

Humein ilzaam dete ho

Hum hi hum tumko chahte hain

Humein badnaam karte ho...!

-Khan M. Asim...19/01/2008...10:55 PM...

Thursday, January 10, 2008

Naumeedi !!!


Aaj phir na-umeedi umand aayi hai

Zindagi ishq se aaj takrayi hai

Jinko dehqan pe kal tak tha poora yaqeeen

Unki faslon mein dekho kami aayi hai

Aaj phir na-umeedi umand aayi hai...!

Har qadam le chala humko teri dagar

Har sitam kar chala humko zakhmi magar

Teri baaton ki khushbu mein khoye rahe

Khushbuon mein zara si nami aayi hai

Aaj phir na-umeedi umand aayi hai...!

Haan yeh socha karo aisa hota hai kyun?

Chein mujhko nahin, mann yeh rota hai kyun?

Lamha bekaar kyun? mein yun bedaar kyun?

Zindagi kyun bhala aise ghabrayi hai?

Aaj phir na-umeedi umand aayi hai...!

Teri umeed pe hain yeh shaam o saher

Apna jalwah dikha chahe banja qaher

Yun na talib ko apne tu tazleel kar

Kya wafaon mein teri kami aayi hai?

Aaj phir na-umeedi umand aayi hai...!

-Khan m. Asim...10/01/2008...3:50 AM...
(Raqqassa-e-hunarmand ki farmaish par toote dil ki siskiyan, viraan gharon se sirf jhain jhain aati hai!)

Thursday, January 03, 2008

!!!!! Happy Birthday !!!!


Tum se sawan nahin suhana

Har lamha yeh gaaye gaana

Yunhi tum-sung sawan aayein

Pathjhad tum rangeen banana

Har lamha...!

Yun toh meikush kitne aaye

Kitne mallah gaye bhanwar mein

Kitne sagar paar hue

Tum saahil pe kashti laana

Har lamha...!

Na dil ki tamanna tum dil mein hi rakhna

Sapnon ko muani pehnana

Mushkil pade gar tumhe koi yaara

Dheere se awaaz lagana

Har lamha...!

Viladat, saadat badi khoobsurat

Badi teri mehfil, bade tere charche

Na ifkaar apne kabhi bhool jaana

Har lamha yeh gaaye gaana...!

Tum se sawan nahin suhana...!

-Khan M. Asim...03/01/2008...3:20 AM...

**********Happy Birthday**********
juss wrote a small song...n here i dedicate it to my friend Arpita on her b'day...keep smiling..May Allah bless all of us...N give me an opportunity to wish you on ur next b'day too...