Naumeedi !!!
Aaj phir na-umeedi umand aayi hai
Zindagi ishq se aaj takrayi hai
Jinko dehqan pe kal tak tha poora yaqeeen
Unki faslon mein dekho kami aayi hai
Aaj phir na-umeedi umand aayi hai...!
Har qadam le chala humko teri dagar
Har sitam kar chala humko zakhmi magar
Teri baaton ki khushbu mein khoye rahe
Khushbuon mein zara si nami aayi hai
Aaj phir na-umeedi umand aayi hai...!
Haan yeh socha karo aisa hota hai kyun?
Chein mujhko nahin, mann yeh rota hai kyun?
Lamha bekaar kyun? mein yun bedaar kyun?
Zindagi kyun bhala aise ghabrayi hai?
Aaj phir na-umeedi umand aayi hai...!
Teri umeed pe hain yeh shaam o saher
Apna jalwah dikha chahe banja qaher
Yun na talib ko apne tu tazleel kar
Kya wafaon mein teri kami aayi hai?
Aaj phir na-umeedi umand aayi hai...!
-Khan m. Asim...10/01/2008...3:50 AM...
(Raqqassa-e-hunarmand ki farmaish par toote dil ki siskiyan, viraan gharon se sirf jhain jhain aati hai!)
No comments:
Post a Comment