Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!
Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai
Tujhe chahta hun, chahne ki bas tujhe hi aas hai
Makhmali teri zulf yeh chamkeeli teri aankhein
Jo hijaab hai isse khol dun, tujhe dekhne ki aas hai..!
Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!
Yeh kehkashan kise chahiye, zameen aasmaan kise chahiye
Kise chahiye zaade safar yeh carvaan kise chahiye
Na hoor ki talab mujhe na manzilon ki aas hai
Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!
Kya barge gul, kya badliyan, kya meh-luqon ki shokhiyan
Kya aashiqi kya dillagi kya mere dil ki mastiyan
Na arsh ko hi qaraar hai na farsh ko hi qaraar hai
Kise chahiye baagh o samar kise gulshanon ki aas hai
Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!
Teri aarzu hai zindagi, teri aarzu hi maut hai
Hai taareekyon mein gum kahin aur tu hi koi jyot hai
Tu goya mera naseeb hai tu khoi meri pyaas hai
Na duniya ki talab mujhe na jannaton ki aas hai
Intehai nazar tak tujhe dekhne ki aas hai..!
- Khan M. Asim...04/12/2006...9:10 AM...Rizvi college, Library...!
3 comments:
nice...
frst i thot it was copied from smwhr :P
hahaha....lolzzzz! tnx....i take it as a compliment..!
yuppp...its copied from my 2006 diary...:P
Post a Comment