Wednesday, July 16, 2008

Sher...!

Uske honton se honton ko mila leta hun

Sharam aaye toh honton ko chaba leta hun

Uski garmi se sulge jo badan...

Apni parwaz ko seene mein daba leta hun..!

To be Cont...

- Khan M. Asim..16/07/2008...3:00PM...ETV Office..!

Tuesday, July 15, 2008

Usse Baatein...!


Karta hun shab-o-roz usse meri baatein

Baatin jo hui beithi hai aankhon mein meri aake

Usko hai zamane ki har ik baat ki parwah

Khamosh magar roti hai aahon mein meri aake

Fitna jo karein uski nigahein mere dil mein

Door raho kehti hai baahon mein meri aake

Mujhko nahin koi malamat mere dil se

Halki si chubhan hogi hi saanson mein meri aake

Dekha jo usse kho gaye manzar mere saare

Saari khudi dol gayi pahaadon mein meri aake

Geisun ki lamas aur chingari badan ki

Jamshedi zaher ghol gayi hoton mein meri aake

ASIM si kare baatein kabhi hoor o malak si

Aansu kabhi ban jaati hai palkon mein meri aake...!

- Khan M. Asim...15/07/2008...1:58PM...Train

Thursday, July 10, 2008

Khush Aamdeed..!


Kuch lamhe visaal ke

Aur phir sadiyon ka intezaar...

Khamosh adhoori saansein..

Uske aane ki khushi...

Aur jaane ka khauf....

Dil hai ke khaali kamra ho...

Har awaaz goonjti hai...

Har kone mein uski aahat hai...

seeli seeli si hawa, uski geeli zulfein

Khidkiyan uski aankhon si

Aasmaan mein doobti...

Samandar hai ya uska dil

Jitna tero utna gehra...

Zindagi thami thami

Lekin raftaar hai ke jumood pe hai..

Gulshan phoolon se bhara hai

Aur maali daranti bakaf...

Usko jaana hai aur mujhe bhi

Farak itna hai, woh wapas laut aayegi

Aur mera safar taweel hai..

Kabhi na khatam hone waala intezaar...

Uski aamad bahaar jaisi thi...

Aayi aur rut badal gaayi

Lekin rukhsat tsunami hai

Meri har saans ko ukhaadti...

Kehti hai mil jaayegi...

Dekho kya deta hai waqt mujhko...

Sirf intezaar ya beintaha pyaar...

Mazah toh tab hai

Jab intezaar ke baad pyaar mile...

Isliye muntazir hun lamhon ka..

Baharein laut aayein aur mera mohsin bhi...

Ba bahaaro raunak jalwagar ho...

Khush Aamdeed..!

- Khan M. Asim...10/07/2008...4:35 PM...!

Friday, July 04, 2008

Mujhe apne jaisi lagti hai..!


Uski adaa hai uska rang

Kuch sapne jaisi lagti hai

Khamosh khadi jab soche woh

Mujhe apne jaisi lagti hai..!

Saawan bhaadon ki malika

Mujhe husn ki raani lagti hai

Woh khoob Sayani hai phir bhi

Mujhe apne jaisi lagti hai..!

Rim jhim rim jhim megh barasta

Uski jawaani lagti hai

Ang ang mera oas sa laage

mujhe rut woh suhani lagti hai

Dekhe jab woh pyaar se aise

Mujhe apne jaisi lagti hai..!

Ik mein hi diwaana kum hun nahin

Mujhe woh bhi diwaani lagti hai

Sone chaandi ki malika

mujhe husn ki raani lagti hai

kuch sapne jaisi lagti hai

Mujhe apne jaisi lagti hai..!

- Khan M. Asim...29/06/2008...10:30 AM..!