Khush Aamdeed..!
Kuch lamhe visaal ke
Aur phir sadiyon ka intezaar...
Khamosh adhoori saansein..
Uske aane ki khushi...
Aur jaane ka khauf....
Dil hai ke khaali kamra ho...
Har awaaz goonjti hai...
Har kone mein uski aahat hai...
seeli seeli si hawa, uski geeli zulfein
Khidkiyan uski aankhon si
Aasmaan mein doobti...
Samandar hai ya uska dil
Jitna tero utna gehra...
Zindagi thami thami
Lekin raftaar hai ke jumood pe hai..
Gulshan phoolon se bhara hai
Aur maali daranti bakaf...
Usko jaana hai aur mujhe bhi
Farak itna hai, woh wapas laut aayegi
Aur mera safar taweel hai..
Kabhi na khatam hone waala intezaar...
Uski aamad bahaar jaisi thi...
Aayi aur rut badal gaayi
Lekin rukhsat tsunami hai
Meri har saans ko ukhaadti...
Kehti hai mil jaayegi...
Dekho kya deta hai waqt mujhko...
Sirf intezaar ya beintaha pyaar...
Mazah toh tab hai
Jab intezaar ke baad pyaar mile...
Isliye muntazir hun lamhon ka..
Baharein laut aayein aur mera mohsin bhi...
Ba bahaaro raunak jalwagar ho...
Khush Aamdeed..!
- Khan M. Asim...10/07/2008...4:35 PM...!
No comments:
Post a Comment