Thursday, September 25, 2008

Bahut roya hun meri jaan mein Musalmaan hokar


Daur-daurah hai inhin ka abtoh har sun

Koi soche bhi kya ab Insaan hokar

Qudrat ne phelaye bahut haath magar

Bahut roya hun meri jaan mein Musalmaan hokar

Har kahani mein chupa hai kahin uska qissa

Sar uthata hun toh uthta hai pashemaan hokar

Haan joshe jahad uthta hai abtoh dil mein

Naujawan phirta hai mujhsa kyun pareshaan hokar

Ik maare lahad phirta hai aksar mujh mein

Bewafa kyun hun mein nigehbaan hokar

Usko lagti hain meri baatein nirali jag se

Mushrik o kafir kahe mujhko woh imaan hokar

Usne mujhko hi har ik baat ka mujrim samjha

Muskurata hai bahut hafize zandaan hokar

Dekh leta ASIM agar asraare hayaat

Janam leta hi bhala kyun mein musalmaan hokar

Bahut roya hun meri jaan mein Musalmaan hokar...!

Khan M. Asim...25/09/2008...1:15PM...!

Thursday, September 11, 2008

Malang!


Ik nayi kiran ki talaash hai

Ik nayi umeed o justuju...

Khwahishon se malang apni

Mujhe carvan ki khabar nahin...

Tishna tishna saher hui kuch

Kuch shaam guzri muntazir

Kuch wujood dooba yaad mein

Kuch sujood mein fariyaad mein...

Hui hayaat o azal ki

Batein sada hi ajal se

Koi teere nigaah hui

Koi harfe sanam hui...

Ik rang hai ik jalaal hai

Woh husne paikar kamaal hai

Yun toh hai mere saath saath

Woh ajnabi sa sawaal hai...

Jannatein bhi hongi haan

Iska yaqeen ab hogaya

Haan bashindgi yeh qubool hai

Ab sochna hi fuzool hai

Woh jabse mere saath hai

Khud jannaton ka nuzool hai...

Woh hoor khulde bareen pe hai

Jise khwahishon ka paas hai

Woh raqs hai, woh saam hai

Jise dekhne ki aas hai

Bedeedgi kya de rahi

Yeh jism zindah laash hai

Ik nayi kiran ki talaash hai

Ik nayi kiran ki talaash hai..!

- Khan M. Asim...11/09/2008...11:26 AM...Train...missing alot!

Monday, September 08, 2008

Asim Khan Video Waale.. :)


Hichkole khaaye daiyaan, dil mera yun dole

Jab bhi diwaani mujhko tu video-wala bole

Aahon mein basi hai meri,aankhon mein chamacham chamke

Saaqi tu sanam Sharraabi tadpaye hole hole

Aajaati thi milne mujhko tu inhin galiyon mein

Thak jaati toh kehti ASIM ab auto lele

Hans hanske rulayein mujhko saahil ki suhani yaadein

Taarikhi meri woh baatein aur teri nigaah kuch bole

Humwaar nahin hain raahein, ghanghor ghana jungle hai

Aatish ka kise haan darr hai hum bhi toh jawaan hain shole

Arrey call mujhe jab karke tu pyaar se hello bole

Khushiyaan hain mujhe miljaati darwaaze saare khole

Likkhe hai tera deewana ghazlon ko teri aankhon se

Haan chodke duniya-daari dilbar ab meri hole

Hichkole khaaye daiyaan, dil mera yun dole

Jab bhi diwaani mujhko tu video-wala bole..!


- Khan M. Asim...08/09/2008...12:41 PM...CST & Press Club..Mumbai..4myonlyluv

Saturday, September 06, 2008

Jag se niraali baatein uski


Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Har ik kona simat raha yun,

Jaise simtein baahein uski

Aate jaate ek woh chehra

Pehrein uski raatein uski...

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Rangin samaa yeh pyaara pyaara

Uske dum se har ik taara

Neina boojhein roz paheli

Kar dun arpit jeevan saara

Saagar ki har mauj diwaani

Yaad dilye baatein uski...

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Himmatwaali uski adayein

Bebaaki hai uske chalan mein

Chattaanon si zaat hai lekin

Gul bhi nahin koi ussa chaman mein

Har goshe mein khushbu karti

Mushk laher hain saansein uski

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Mein hun uska agyakaari

Komal sundar woh bewpaari

Itna mushkil usko paana

Guzar na jaaye umar yeh saari

Tadap tadap ke dheere dheere

Mujhko rulayein yaadein uski...

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

Ghor andhera, kaali duniya

Roz pighalti shaamein uski

Maddham maddham roshan kartin

Yaadeein uski, baatein uski...

Jag se niraali baatein uski

Woh matwaali duniya meri.......!

- Khan M. Asim...06/09/2008..2:10 PM...only4u...missing u alot..!