Manzil
Yeh siyah lamha hai
Khudko kamzor mehsoos karta hun,
Aasmaan baras raha hai
Aur piyasi zameen naha rahi hai,
Zahen majhool sa hai,
Khayalaat hain ke ghubbaar,
Har zarre mein maut ki aahat
Phool hai ke khushbudaar
Mausam hai ke khud-mukhtaar
Aur ek hum hain,
Apahaj!
Na koi aazaadi na koi qaid!
Taang hain magar chal nahin sakte
Hont hain magar bol nahin sakte,
Chahte hain magar pa nahin sakte...
Saanson mein bejod khinchao,
Aankhon mein nakaam umeedien,
Har sun dukhaan,
Siyah safed sab ek hai
Tum ho meelon door
Aur mein khud mein khoya,
Koi tumse juda hai
Aur koi juda karna chahta hai,
Rasam o rivaj ki aari chalne waali hai
Aur yeh dil bargad ki tarah dheh jaayega
Mein nahin jaanta, kya keh raha hun
Bas itna jaanta hun,
Yeh itna aasaan nahin
Iske samjho mere humsafar
Hum sath saath hain,
Magar
Manzil abhi door hai!
- Khan M. Asim...21/07/2009...3:24 PM..Home
3 comments:
Lovely lines... Yaar ye itna saara soch kaha se lete ho...vry nice :)
Kp writing nd kp posting. Cheers!!
aapko manzil zarur milegi.. inshallah...
Mashallah, Tumhare munh mein ghee shakkar, Bas kya kahun, m happy :)tnx
Post a Comment