Shikayat
Tumhe bhi shikayat Mujhe bhi shikayat
Mujhe faaslon se tumhe chahaton se...!
Tumhe apna sapna suhana hai lagta
Yahan abtoh jeena bahana hai lagta
Kise jaake ab hum ke dil ki sunayein
Sanam mein bhi humko zamana hai lagta
Tumhe kya padi hai meri raahataon se
Tumhe bhi shikayat Mujhe bhi shikayat
Mujhe faaslon se tumhe chahaton se...!
Tumhe humne arshe bareen pe bithaya
Khudi se bhi ziyada tumhe dil lagaya
Na maaloom tha ke yeh anjaam hoga
Jo kaanton ko daaman mein khud se chubhaya
Tumhe kuch nahin hai haseen sa-aton se
Tumhe bhi shikayat Mujhe bhi shikayat
Mujhe faaslon se tumhe chahaton se...!
Tum bin nahin tha jo jeena gawara
Tumhe lamhe lamhe mein humne pukara
Jo tum ko shikayat hai itna kahenge
Haan aawaaz denge na tumko dobara
Tumhe bhi shikayat Mujhe bhi shikayat
Mujhe faaslon se tumhe chahaton se...!
- Khan m. Asim...01/09/2009...1:15 PM...Train.
2 comments:
Acchi koshish hai.....magar ye bhi samajhna zaruri hai ki antath ham kya kahna chahte hain, aur jo kahna chahte hain,,kyun chahte hain ki sabhi use padhein....ye misra samajh nahi aaya
Sanam mein bhi humko zamana hai lagta
Nishant kaushik
www.taaham.blogspot.com
Sanam mein bhi humko zamana hai lagta
....samajh aaya...power ful line hai...ye bimb agar puri rachna mein ho to bahut badhiya...
Post a Comment