Mein kaun hun?
Aankhon mein dard
Dil mein chubhan
Ajeeb sa khinchao o tanao
Phadakti ragon ka ek hi sawaal
Raahat, raahat
Mukammal raahat...
Nakaamiyon ka palda neeche hai
Aur tarazu-e zindagi daama dol,
Kab, kahan kya hoga?
Agla lamha kya layega?
Ek jumoodi soch,
Aur kabhi na khatam hone waala raasta,
Taareek bayaban,
Aur talaashe roshni,
Justuju khud ko paane ki,
Magar kyun?
Kya hai roshni mein?
Saakit andhera,
Ek ansujha khila
Na kaamiyabi ka maza
Na raahaton ki umeed
Ek nuqta, shua o khayal
Yeh hai toh kya hai?
Kyun hai?
Mein hun toh kya hun?
Hun toh kyun hun?
Aakhir,
Mein kaun hun?
-Khan M. Asim..02/11/2009..07:05PM...Train...
3 comments:
Genial dispatch and this post helped me alot in my college assignement. Thanks you on your information.
Easily I acquiesce in but I think the collection should acquire more info then it has.
Sorry, i ddnt get u! plzz mention ur names and kindly eleborate ur statements...!
Post a Comment