Naya saal aaya magar ghum wahi hain..!
Naya saal aaya magar ghum wahi hain
Tum tum nahin ho magar hum wahi hain
Naya saal aaya magar ghum wahi hain..!
Tumhe apni ulti bhi seedhi hai lagti
Hamari haan baatein hain tumko akharti
Na milne ka ab tumko armaan raha hai
Jo hukmo hai deri na tum ho thaherti
Naya saal aaya magar ghum wahi hain..!
Tumhein kaam se kyun nahin ab hai fursat
Kya dil mein zara bhi bachi hai na ulfat
Jo baahon mein hon toh paraye lago tum
Yeh kaisa milan hai yeh kaisi hai furqat
Naya saal aaya magar ghum wahi hain..!
Baghavat yahan bhi ubharne lagi hai
Haan tumko hai chaha nahin bandagi hai
Bhula denge shayad sanam tumko aise
Yahi zindagi hai yahi zindagi hai
Naya saal aaya magar ghum wahi hain
Tum tum nahin ho magar hum wahi hain
Naya saal aaya magar ghum wahi hain..!
- Khan m. Asim...07/01/2010...3:20PM...Train...Hope it will ring alarm for those who are bored of me!
No comments:
Post a Comment