Tuesday, February 09, 2010

Chahta hun!


Dariya mein ravaani chahta hun

Mohabbat javedaani chahta hun

Tumhare bin bahaar kaisi hai

Haan Tumse zindagani chahta hun

Samandar keh raha hai moujon se

Fizaayein aasmaani chahta hun

Nigahein khar khar kyun har sun

Haan thodi gulfishaani chahta hun

Hijr ki tareek raaton mein

Manzar kehkashaani chahta hun

Milein kyun ajnabi se hum

Kahani phir puraani chahta hun

Hai apni soch mein peeri

Ke tumse nojawaani chahta hun

Haan raahe deen mein ASIM

Zara si be-imaani chahta hun!


- Khan M. Asim...08/02/2010...4:20PM...!

4 comments:

shikha said...

nice 1..:)

Anonymous said...

it was good, u r a thinking type undoubtedly.

Beimraan said...

"Tere pyaar kaa aasaraa chahta hun
wafaa kar rahaa hoon wafaa chahta hun" kah gaye sahir ludhyaanvi.............
"Hai apni soch mein peeri
Ke tumse nojawaani chahta hun
Haan raahe deen mein ASIM
Zara si be-imaani chahta hun! ".............kah rahe hain asim khan

sahir ne kaha hai pyaar ke liye aur asim kah rahe hain kyunki unhe apne mazab se pyaar hai.

Badiya likha hai asim sahab......

Arpita Sarkar said...

Inshallah aapki saari chahte zarur puri hongi :)