Saturday, October 30, 2010

Manzil


Abhi teri mehfil se ruswa nahin hun

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun

Jo duniya ki chahat mein tujhko bhula de

woh khudgarz aashiq nahin hun nahin hun!

Abhi teri mehfil se ruswa nahin hun

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun..!

Samandar kinara, woh lamhon ka dhara,

kabhi nazrein jhukti kabhi dil hamara,

kabhi banta aanchal mohabbat ka parcham,

kabhi dard se toot jaata sitara,

mahek gesuon ki mein bhool nahin hun,

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun!

Woh honton ki narmi woh gaalon ka challah,

Mera dil gaya yun arrey hai allah...

Numaish mohabbat mein karte nahin par

Tumhi se hai ulfat kasam allah allah

Woh baaghe baharan mein bhoola nahin hun

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun!

Likha naam tera hai dil ki zamin par

Rahega azal tak yahin par yahin par

Nahin mit sakegi hamari kahani

Farishta yeh kehta hai arshe barin par

Khuda ki khudai ko bhoola nahin hun

Tera dil hai manzil abhi bhi wahin hun!

Khan M. Asim 30/10/2010... 1:06 AM..!

Wednesday, October 27, 2010

Life

Life is worst i ever had! I dont know how to describe it, just sailing away! Job hunt is still on its way and there is no peace of mind. And what peace of mind when there is no mind!

I am all broken now, into pieces. Fighting, fighting and just fighting, life is a shit!

Huh, not in mood to write anything... Bye Bye

Berozgaari


Phir wahi naakaam kahaani

Khushiyan ghayab aur viraani

Be ma-ash, bhook, berozgaari

Tauba, thuh! yeh kaisi jawani

Be-raah manzil, noor nadarad

Ghuncha ghuncha paani paani

Bas apno ko saari raahat

Khan sahab ko nahi aasaani

Kabhi do toh kabhi chaar hain

Badhti jaayein minute diwaani

Zahen faqat hichkole khaaye

Kya yahi qismat thi banani?

Manzar ASIM yahi raha toh

Ho jaayenge aanj-haani!

Khan M. Asim... 26/10/2010...8:25 PM...Train... I know it needs lots of editing work but am so tensed that cant even pen down things! I feel am a looser, am GONE!

Thursday, October 07, 2010

Doobta sooraj!


Aaj phir sooraj doob gaya,

Aadhi raat mein!

Phir wahi saanson mein garmi

Phir wahi aankhon mein nami

Musalsal jid-o-jahad,

Khaana Jungi,

Mushta-al hangame,

Ik daher!

Har kaam pe sawaal

Har kaaj pe ilzaam...

Dilruba dilbardashta,

Tanha shab bhar ghum ko peena

Kutton se bhi badtar jeena

Koi nahi dil ka saathi!

Jin se umeedein,

Wahi hain baaghi...

Nakaam mohabbat!

Nakaam Akhu-wat!

Zindagi ki tooti laathi...

Ghanghor andhera,

Kal pe baadal...

Fasal pakegi zamindaron ki

Bhooka dehqan soyega!

Aalam gar aisa hi raha toh

Ik din aisa hoyega,

Parwana jal jaayega,

Kya ruthegi duniya usse

Woh jag se uth jayega

Par,

Naam tumhara likh kar dil pe

Woh jurm tumhe dejayega!

- Khan M. Asim...07/10/2010...3:12 AM...!

Wednesday, October 06, 2010

Aye rabb tu hi bata de


Hai shaakhe gul pareshaan

Toota hai taara taara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

Ghairon se milke dekha

Apnon se milke dekha

Dil jis se mil saka ho

Koi nahi hai aisa

Mehfil ki berukhi se

Toota bharam hamara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

Jin mehfilon mein ronak

Hoti hamare dum se

Ab toh koi na pooche

Kyun hain nidhaal ghum se

Be-raah ravi ka humko

Jamke mila khasaara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

Dariya mein chalte chalte

Bhatka mera shikaara

Jis simt mudke dekha

Khoya wahin kinaara

Duniya ki tez ro mein

Phirta hun maara maara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

Dono jahaan se badhke

Tujhko banaya pyaara

Phir muflison sa maula

Hota hai kyun guzara

Aayengi kab baharein

Kab hoga noor saara

Aye rabb tu hi bata de

Kya hai tera ishaara!

-Khan M. Asim...05/10/2010...5:45 PM to 11:45 PM...Train