Tuesday, April 26, 2011

Na ishq pur-junoon hai na husn qaatilana


Bazaare misr hai na kharidaar ab zulekha

Na ishq pur-junoon hai na husn qaatilana

Maghrib ki vaadiyon mein bhula yun dars apna

Na jisme aadmi hai, na roohe aarifana

Ik aagahi hai hum pe huwe raaz jab se afshan

Na raqeeb bawafa hai na habeeb mukhlisana

Huwe jeet kar shikasta na fun raha na daulat

Na pur-rang hi dhanak hai, na hi fasal aashiqana

Taareekh cheekhti hai, sadiyan pukarti hain

Na gharoore teghahi hai na alam hai faatehana

Huwe is qadar beparwah lage poojne sanam ko

Na wujoode aabidi hai na sujood bandagana

Kabhi mehfilon ne ghera kabhi khilwaton ne kosa

Na sukoone qalb hi hai na hi zarf ASIM-ANA!

- Khan M. Asim... 26/04/2011... with many intervals finished at 9:39PM!

Saturday, April 23, 2011

Yaad unki aarahi hai aaj phir!


Diwangi sar pe chadhi hai aaj phir

Bekhudi si chaa rahi hai aaj phir

Mein kahin hun woh kahin hai dekhiye

Zindagi ghabraa rahi hai aaj phir

Shaam se tanha hai taara chand bin

Aur ghata bal khaa rahi hai aaj phir

Tishna lab hai ik parinda dekhiye

Aur nadi itraa rahi hai aaj phir

Aansuon ka ek dariya ban chukaa

Kya paher dikhlaa rahi hai aaj phir

Do qadam do chaar lamhe hum chale

Aur thakan tadpa rahi hai aaj phir

Saans phir ukhdi hain ASIM kya karein

Yaad unki aa rahi hai aaj phir!

- Khan M. Asim...23/04/2011... 9:45PM!

Tuesday, April 19, 2011

Zamaane ko tum se akhuwwat nahin hai


Humein pyaar karne ki fursat nahin hai

Ke dil ko kisi ki zaroorat nahin hai

Tadapna hai tujhko tadapta reh ae dil

Mein kehta hun phir bhi mohabbat nahin hai

Kyun beitha hai aise, soche kyun itna

Kisi sang dil ko jab ulfat nahin hai

Haan jakda hai aise ke hil bhi na payein

Ke hum pe maharbaan yeh kismat nahin hai

Jo keh dunga tum se toh kho dunga tumko

Ke sach baat kehne ki jurrat nahin hai

Jo tum ko bataon toh sunti kahaan ho

Dile sanfe naazuk mein himmat nahin hai

Jo bhaagunga tumse toh bhaagun bhi kitna

Ke apne muqaddar mein furkat nahin hai

Bahadur bano apne zakhmon ko seencho

Zamaane ko tum se akhuwwat nahin hai

Kahan waqt ne Ibne Mariyam ko bakhsha

Bada be-zarar hai yeh ghairat nahin hai

Abhi aur bhi raaz hum pe khulenge

Ke apni pahunch mein yeh qudrat nahin hai

Yeh keh kar hi deta hun dil ko tassalli

ASIM yaan kis pe musibat nahin hai!

- Khan M. Asim...19/4/2011...03:02PM!

Haseenon ki galiyon mein panga na lena

Haseenon ki galiyon mein panga na lena

Jo juti padein toh phir mujhse na kehna!

Chehra chupakar bhaag jaana wahaan se

Mujhe na pakadna hai mujhko wan rehna!

- Khan M. ASIM...17/04/2011... 12:35AM!

Sunday, April 17, 2011

O Mere Khudaya!


Yeh kaisa sitam hai O mere khudaya

Haan bandey ko apne yun tu ne bhulaya

Yeh kaisa tawazun, taraazu mein tere

Koi hai gada-gar kisey shaah banaya

Kahin pe umeedein kahin aas tooti

Kahin dasht jalta kahin gul khilaya

Amavas ki budhi di raatein yeh kaali

Ya sitaaron se poore falak ko sajaya

Kisi nakhuda ka yun bedha dubaaya

Kisey zalzaley har bala se bachaya

Koi cheekhta hai koi hans raha hai

Koi dar-badar hai, kisey ghar dilaya

Koi hai shikasta koi jeet-ta hai

Kisey deke maara kisey yun uthaya

Ajab hai zamaane ki tamseel teri

Koi dekhta hai, kisi ko nachaya

Haan tera shukar hai jo tu ne dia hai

Mujhe ilm bakhsha, mujhe sab bataya

Tu hi sab pe qaadir tu hi dene wala

Madad maangta hai yeh ASIM khudaya!

- Khan M. Asim... 17/04/2011...10:30PM!

Saturday, April 16, 2011

Gardishe Ayyaam


Gardishe ayyaam mein

Doob jaon jaam mein

Bhool jaon khud ko ab

Kya rakha hai naam mein

Dopehar ka maharaja

Doobta hai shaam mein

Sood o soda makar o fun

Hai bas yahi inaam mein

Haan jhoot bolo tolkar

Usool hai ehkaam mein

Sach, akhuwwat aur deen

Kuch nahin hai kaam mein

Haan yahi hai bas yahi tha

Sab dharr dia ilzaam mein

Lachargi, awargi, aur tum

Thaat se beitho ho intezaam mein

Kahan kaisi diwar ASIM aur sar

Beich dia khud ko saste daam mein!

- Khan M. Asim...16/04/2011... 3:51AM!

Sunday, April 10, 2011

Khul rahe hain raaz pinhan mukhtalif advaar mein


Kaat hai har zulm ki ishq ki talwaar mein

Khul rahe hain raaz pinhan mukhtalif advaar mein

Kaun jeeta kaun haara kaun jaane yeh bhala

Waqt, gardish aur dil hai kis ke ikhtiyaar mein

Daastaan mujhko bata de woh sukhanwar hai kahan

Chal rahi hain kainaatein jiske intezaar mein

Shams ki tarkeeb bin phool hai phalta nahin

Kaam sab banta hai pyaare narmiye guftaar mein

Ik khushi hai aur sukun hai khamoshiyon ke darmiyan

Bijliyaan kitni girengi aapsi takraar mein

Zulm ki tehni kabhi phoolti phalti nahin

Ladh rahe hain log kyun yeh bewajah bekaar mein

Kya adab aur kya sakafat sab aagaya baazaar mein

Gir chuka hai dekh maghrib har tarah kirdaar mein

Ik haya hai, ik wafa hai, Hind mein pheli hui

Aaj bhi hai dekh izzat mashriqi iqdaar mein

Kya maraz aur kya dawa hai, uska jalwa marhaba

Har nazakat meine paai haan mere dildaar mein

Keh diya tha saaf ASIM mut rakho be-raah-ravi

Phans gaye ho aaj dekho ishqe na-hanjaar mein!

- Khan M. Asim... 10/04/2011... 10:07PM!

Saturday, April 09, 2011

Jab woh roonth jaati hain..!


Jab woh roonth jaati hain mein ghazlein khoob likhta hun

Bhala kaise kahun unse, nasha bas roonthne mein hai!

Tadakh jaati hain sab aahein tadapti ruh hai bheetar

Chatakhti sang nazron se, maza bas tootne mein hai!

Koi qaatil bana hoga, kisi ke husn ki khaatir

Yahan bhi dard hai uthta shagufa phootne mein hai!

Kahan rakhein chupakar ab, khazana husn ka unke

Kisey hai chaah daulat ki, maza bas lootne mein hai!

Dabi hai haath mein kismat, bhala phir aah o zaari kyun

Chali aao ohh dilbar tum ke lamha chootne mein hai!

Kisey hai khauf duniya ka, yahaan hain shaan se jeetey

Maza toh asal mein ASIM, zamaana kootne mein hai!

- Khan M. Asim..09/04/2011.. 2:42AM!

Friday, April 08, 2011

Anna Hazare


Gandhi, Hazare aadmi pyaare,

Neta yeh sachche hain hamare,

khaadi waalon sar ko bachao,

Ab na rahhenge taj tumhare!

Khan M. Asim...08/04/2011...5:00PM! In solidarity with Anna Hazare's Movement against corrupt system!

Thursday, April 07, 2011

Meri Saheli


Meri dilbar meri saheli

Saare jahaan mein ek akeli

Pehlu mein aaye mann mein samaaye

Bal khaaye dekho woh albeli...

Meri dilbar meri saheli

Saare jahaan mein ek akeli..!

Ab na khalish hai ab na shikayat

Kaisi hai ranjish kaisi adavat

Baahon mein aakar nazrein milakar

Saanson mein bhar gayi meri mohabbat

uske hi qisse uski hi baatein

Woh hai anokhi woh hai paheli...

Meri dilbar meri saheli

Saare jahaan mein ek akeli..!

Jungle mein hai woh parbat mein woh hai

Basti mein hai woh Sehra mein woh hai

Sehron mein hai woh pehron mein woh hai

Gulshan mein hai woh bela mein woh hai

Usse nazaare usse bahaarein

Uske hi dum se rut yeh naveli...

Meri dilbar meri saheli

Saare jahaan mein ek akeli..!

Lehron ki masti usse hi maail

Jannat lage hai uss sang saahil

Uski adaayein hain kehkashayein

Noore mujassam woh husne kaamil

Dil yeh shikasta us mein hi khoya

Rang mahal woh roop haveli...

Meri dilbar meri saheli

Saare jahaan mein ek akeli..!

- Khan M. Asim..06/04/2011... 11:25PM...Train!

Tuesday, April 05, 2011

Ajnabi


Roz milte rahe,

Roz baatein hui,

Dooriyan phir bhi mitti nahin

Ajnabi, ajnabi se rahe humsafar!

Ek sawaal,

Aur

Behangam jawabaat...

Anmol lamhe,

Pighalte jazbaat

Na koi khushi ka ehsaas

Na koi gham ka asar

Be-sood o be-niyaz

Fikar ki shikan ghayab...

Khayaal o khaam yaksaan

Jaise kuch huwa hi nahin

Kisi ne kuch kaha hi nahin

Kaghaz udtey rahe

Lafz marte rahe...

Ek shakhs,

Doobta, ubharta raha

Dard mein,

Chikhta, akharta raha...

Sirf baazgasht,

Aur Saamey...

Kaf bagosh!

Samaaj, rivayaat,

Aur rivaaj ki aandhi

Godhuli sa manzar,

Utaaqe dil soona

Aur,

Aaalame rang o boo...

Pur shabaab!

Kis se? Kiski?

Aur

Kaisi shikayat?

Woh jo jaankar bhi

Anjaan hai!

Sadiyon ki humsafar

Magar ajnabi...

Zara si laghzish

Aur

Rooh Bezaar!

Waqt dhalta hai

Jism jalta hai

Kaun badla hai

Kaun badlega...

Dil Musafir,

Sarae ghoome hai!

Kitni manzil,

Kitne raste

Phir bhi...

Ik udhed-bun

Yood o nayood sa haal

Ajeeb si vehshat,

Khud se adavat...

Ik ajnabi khayaal,

Ishqe na-hanjaar

Aur

Tawaifon sa dil!

- Khan M. Asim... 05/04/2011... 2:47AM!

Monday, April 04, 2011

Pighla gaya mujhe, mere ishq ka ubaal


Pighla gaya mujhe, mere ishq ka ubaal

Warna yahan yun bole kiski bhala majaal

Beparvah mehfilon mein kisko sha-ur kaisa

Tadpa raha hai humko kumzarf ik khayaal

Kisko padi nadamat, kisko pashemaan hona

Phela hua hai har sun baazigaron ka jaal

Gulchin jo dost thehra kaise bachayein gulshan

Har shaakh cheekhti hai jeena hua muhaal

Teri anjuman mein pheli deshat hai har jagah

Nadaan ho ya ho daana sab ka bura hai haal

Bas ek teri boli mujhko jila hai deti

Ya ek zakhm tera, dil dard mushta-al

Kaise bataon tujhko beitha hai jo udaas

ASIM sa behaya aur karta hai yun malaal!

- Khan M. Asim...04/04/2011... 8:47PM!