Tuesday, April 05, 2011

Ajnabi


Roz milte rahe,

Roz baatein hui,

Dooriyan phir bhi mitti nahin

Ajnabi, ajnabi se rahe humsafar!

Ek sawaal,

Aur

Behangam jawabaat...

Anmol lamhe,

Pighalte jazbaat

Na koi khushi ka ehsaas

Na koi gham ka asar

Be-sood o be-niyaz

Fikar ki shikan ghayab...

Khayaal o khaam yaksaan

Jaise kuch huwa hi nahin

Kisi ne kuch kaha hi nahin

Kaghaz udtey rahe

Lafz marte rahe...

Ek shakhs,

Doobta, ubharta raha

Dard mein,

Chikhta, akharta raha...

Sirf baazgasht,

Aur Saamey...

Kaf bagosh!

Samaaj, rivayaat,

Aur rivaaj ki aandhi

Godhuli sa manzar,

Utaaqe dil soona

Aur,

Aaalame rang o boo...

Pur shabaab!

Kis se? Kiski?

Aur

Kaisi shikayat?

Woh jo jaankar bhi

Anjaan hai!

Sadiyon ki humsafar

Magar ajnabi...

Zara si laghzish

Aur

Rooh Bezaar!

Waqt dhalta hai

Jism jalta hai

Kaun badla hai

Kaun badlega...

Dil Musafir,

Sarae ghoome hai!

Kitni manzil,

Kitne raste

Phir bhi...

Ik udhed-bun

Yood o nayood sa haal

Ajeeb si vehshat,

Khud se adavat...

Ik ajnabi khayaal,

Ishqe na-hanjaar

Aur

Tawaifon sa dil!

- Khan M. Asim... 05/04/2011... 2:47AM!

No comments: