Aye mere Parvardigaar!
Aye mere Parvardigaar
Mujhko dede mera pyaar
Mujhko dede mera pyaar
Aye mere Parvardigaar..!
Nind meri cheeni uss ne
Chain loota aur qaraar
Kho na dun mein yunhi usko
Kar de darr ko tu faraar
Sab se aala zaat teri
Kar de rehmat be-shumaar,
Aye mere Parvardigaar,
Mujhko dede mera pyaar..!
Subha usse shaam usse
Mehfilon ka jaam usse
Har jagah bas rang uska
Zindagi ka naam usse
Geet gaon mein ussi ke
Yunhi rakh mujhpe khumaar,
Aye mere Parvardigaar,
Mujhko dede mera pyaar..!
Baat mein har baat uski
Khushiyan sab saugaat uski
Aankh mein har khwaab uska
Jaan meri hai zaat uski
Kab talak yun door beithein
Khatam kar de intezaar,
Aye mere Parvardigaar,
Mujhko dede mera pyaar..!
Mein hun tishna woh hai dariya
Mein hun raahi woh dagariya
Duniya ki woh meri bunkar
Mein hun shehri woh nagariya
Ab nahin hota hai mumkin
Dil pe mere ikhtiyaar,
Aye mere Parvardigaar,
Mujhko dede mera pyaar..!
Roop uska rang uska
Badhia laage dhang uska
Chaahun na kuch aur tujhse
Saath gar ho sang uska
Maangta hun sirf tujh se
Tujh pe bas hai aitbaar,
Aye mere Parvardigaar,
Mujhko dede mera pyaar..!
- Khan M. Asim... 05/05/2011... 3:19PM!
3 comments:
"aaaaaaaaah".....nikali ek.. ye lavz utar gaye nek..sirf ek hi baat aa gai zubaan pe yaar....iska pyar de de isko ya parvardigaar....!!!!!
Wah poem.. asim .. :) after reading khushbu's poetic reply.. Maine bhi 2 lines likhi hai.. Suniyee..
Raag uska.. saaz uska... zindagi ka har roop uska.. aisa hai hann andaaz uska.. lafzo se kare bayan sabke haal dil kaa.. :) hehe
Well.. Your writing reflects all moods.. that we usually go through,, joy,, despair. agony.. thril.. etc etc.. all the best .. keep writing.. :)
Dono bachchiyon ko mera dher saara pyaar... Allah tumhari umar daraaz kare, aur tumhe nek aur saaleh shohar bakhshe :P
Post a Comment