Saturday, December 31, 2011

Independent Couplets

Woh muskura kar qarib aaye mere

Qayamat aagayi qayamat se pehle! ASIM

*****************************************

Yahi dastoor hai inki mehfil ka bulaya jaata hai izzat badhai jaati hai

Uske baad wahin qatal karke lokpal ko badi hi dhoom se maiyat uthayi jaati hai...

Bura kya jo congress pe aitbaar kiya... bhool hum se hui iske voter baney..

Iska sansad mein laana ghazab hogaya!

Opposition mein jab tak thi seedhi thi yeh..

Isko power mein laana ghazab hogaya! ASIM

************************************************

Team Anna:
Anna mein hai dum
Vande Mataram!

Congress:
Anna mein hai bum (bomb)
Phat jayenge hum! ASIM

***************************************************

Jo thak ke choor huan hun toh sochta hun yeh

Baatein tujh se karun ya kuch kaam ki sochun

Tere khayaal ki jung aitdaal ki jung ladta rahun

Sukoon ghaarat karun ya aaraam ki sochun! ASIM

***************************************************

Jab waqt ki aandhi aati hai sab duniya udd jaati hai

Dehkan ki rozi chinti hai aur maya haath se jaati hai

Utna hi karo ghairo pe karam jitna ke tumko pyaar mila

Tab chot khudi ko lagti hai gherat ruswa ho jaati hai! ASIM

*******************************************************

Waqt badlega haal badlega

Saath tera sawaal badlega

Yeh jaahil kahega apni hi..

Lekin tera khayaal badlega..! ASIM

**********************************************************

Waqt ik parchayein hai iss ka kisey yaan khauf hai

Sukh ka ujala kab talak dukh ka andhera kab talak

Tishnagi bujh jaayegi nazrein milengi jab sanam

Hijre bayaban kab talak tishna yeh sehra kab talak! ASIM

************************************************************

Kaun sharmaye ainey se ghabra kar

Khud bahaarein aarzu-e-vas'l hain! ASIM

***********************************************************

Waqt shahenshah se keh do ek qalandar aaya hai

Uske zulm mitaane ko ek sikandar aaya hai! ASIM

************************************************************

Gar ashkon ki qeemat hoti

Mere paas bhi daulat hoti

Waqt zara sa mein bhi deta

Uske paas bhi fursat hoti! ASIM

**************************************************************

Waqt shikari ghaat lagaye

Mein naadaan parindah hun

Hans leta hun rou leta hun

Bas yun hi mein zindah hun..! ASIM

**************************************************************

Sawaabon ka apne sila maangte hain

Na jannat hum roze jaza maangte hain

Kahan tujhse ziyada khuda maangte hain

Salamat rahe maa dua maangte hain! ASIM

***************************************************************

Majboor hogaye hain maashuq bandagi mein

Thukra rahe hain duniya iss dil ki dillagi mein

Haari hai saari baazi lafzon ka sar jhuka kar

Kya mod aagaya hai ASIM yeh zindagi mein! ASIM

****************************************************************

Dabakar mutton ab yeh khaane lage hain

Mujhe Billoo maamu banane lage hain

Bas fish chahiye yeh na chakhein chicken

Bade nakhre ab yeh dikhaane lage hain! ASIM

*****************************************************************

Jo naghme mohabbat ke gaane lage

Woh daaman humi se chudane lage

Hum ne kaha jafa tum mein hi hai..

Lo hum bhi ab tum ko bhulane lage! ASIM

**************************************************************

Subah sard mausam

Aur ishq ki angdaiyan! ASIM

*********************************************************

Yeh zindagi ek dard hai har baat mein nadamat hai

Kaam hai toh shaamat hai naam mein qayamat hai! ASIM

***********************************************************

Woh maazi yaad karti hai

Suna kar baat ladti hai

ghazal likh kar mita jo di

Bas us par aah bharti hai! ASIM

************************************************************

Dil churaya mera jisne naam hai uska jaani

Dilruba Billu Rani Dilruba Billu Rani..! ASIM

*************************************************************

Kaisa gham aur kaisa maatam kaisa yeh yaum-e-siyah

Masjid jab jab veeraan hongi todne waale aayengey! ASIM

***************************************************************

Aashiqi ke mausam mein jaanlewa tanhayi

Sard sard raaton ki angdaiyaan qaatil hain

Tishnagi chalakti hai aarzoo machalti hain

Vas'l ki tamanna mein hijr humko haasil hain! ASIM

***************************************************************

Yeh maana hum se door hain dil mein magar maujood hain

Sarkar deekhein har jagah mere khuda mere khuda! ASIm

**************************************************************

Bechain hain hawayein

Ghatayein shabab par

Baaqi tika hai saaqi

Tere jawaab par! ASiM

*************************************************************

Kaisa yeh fasaad hai yaan dilon ke darmiyan

Aashiqi thandi padi badh rahi hain garmiyan! ASIM

*************************************************************

Aarzoo mein baatil ki apna hum jahan bhoole

Kaisi yeh talab payi kaise khud ko samjhayein! ASIM

**************************************************************

Maasoom dil mazloom o ghum

Roya hai dil aankhein hain num! Asim

****************************************************************

Jitni maasum utni zaheen hoti hai

Jitni haseen utni kameen hoti hai! ASIM

**************************************************************

Neem uriyan, neem vehshi, dirty picture ban gayi

Tamiz chulon mein gayi tehzeeb naagan ban gayi! ASIM

***************************************************************

Ek kamre mein bhi guzara ho sakta hai magar

Deewaaron ke saath dil bhi milna chahiye! ASIM

**************************************************************

Raaze dil hum se chupa ke kya paoge

Aks se khud apne ghabra jaoge! ASIM

**************************************************************

Bedardi, sodai, harjai

Ishq ne humko di ruswai! ASIM

*************************************************************

Mohabbat yeh kaisi shab ko hui hai..!


Tumhari yaad, yeh taare, yeh jugnu

Mohabbat yeh kaisi shab ko hui hai

Jo badhkar naqabe ghazal ko uthaya

Haan takleef saari adab ko hui hai

Mohabbat ka mausam tanhai, kismat

Adaavat kya hum se Rab ko hui hai

Bhala hi kya hai bhala chahte hain

Kyun takleef hum se sab ko hui hai

Iraadon pe qaabu rakkho apne ASIM

Bhala baat apni si kab ko hui hai!

- Khan M. Asim... 31/12/2011... 3:40 AM!

Thursday, December 29, 2011

Mein woh khwaab hun tabeer nahin hai jis ki..!


Mujhko Aankhon mein basakar ke kya paogey

Mein woh khwaab hun tabeer nahin hai jis ki

Waqt se badh ke dhuan hun jaise

Mein woh mazmun hun tehreer nahin hai jis ki

Khauf mehshar ka unhein laazim hai

Mein woh insaan hun taqdeer nahin hai jis ki

Dosh uljhan ka mujh pe na lagao logo

Mein woh aayat hun tafseer nahin hai jis ki

Kya kahun chedkar mujhko khata khaoge

Mein woh mushkil hun tadbeer nahin hai jis ki

Kitna todoge aakhir ko mujhe paogey

Mein woh zarrah hun takseer nahin hai jis ki

Har mulaqaat mein juda sa mujhe paogey

Mein woh ASIM hun tasveer nahin hai jis ki!

- Khan M. Asim... 29/12/2011... 12:20AM!

Saturday, December 24, 2011

Mulaqaat..!


Aaj toh kehkar hi hatunga tumse dil ki baat

Chaahe guzar jaaye yunhi saari raat

Kab se kar raha hun imtihaan ka intezaar

Sardi, garmi aur guzar gayi barsaat

Mahinon se hum door hain paas nahin aaye

Na jaane kab hogi ab tum se mulaqaat

Kaamiyabi, nakaami milti hi rahegi

Filhaal manate hain waqt ki saugaat

Dushman ne ladh ladh kar bahut khoon bahaya

Kabhi Ayodhya to kabhi jala diya Gujarat

Ab tum aakar mil jao door nahin jaao

Na jaane kitne honge warna fasadaat

Ladta hai insaan faqat ik tukde ke liye

Khuda ne banaye hain zamin o aasmaan saat

Na laher mein hai na baher mein hai yeh meri shayeri

Mein toh bas likhta hun tere tassauvuraat

Na jaane kab bolun tum se dil ka apne raaz

Yun toh tum se kar leta hun phone pe hi mein baat

Asim ko apna ghulaam banao ya apna devdas

Tarsao na tum itna kar lo ik mulaqaat!

- Khan M. Asim... 19/2/2004... 01:30 AM!

Hmm, thought to post my old work.. please ignore the meter and other poetic issues... wrote this poem long back... will edit it sometime in future.. for now its in original form... Remembering my teenage... beginning of attractions... arrival of princesses and beauties in life and on paper... When every girl seemed to be in love with me... I had a right to imagine that being a so-called cute baby-boy :P Li'l nostalgic while reading my dairy.. Have hundreds of more such poems... As am romantic since am born :)

Tuesday, December 20, 2011

Ammi..!


Maa ko tadapta dekh dil betaab ho utha

Aatishfishan sa ik hai dile baqarar mein

Munh se nikaal phenka hawa ke ghilaf ko

Bilkul nahin milawat ammi ke pyaar mein

Aake pukarein kab woh bete ab khana kha le

Nazrein gadhin hain dar pe isi intezaar mein

Mamta hai jaame kausar ammi sarapa jannat

Kuch aur hi kashish hai maa ke kirdaar mein

Saari balayein ley lin mujh ko duayein dedin

Sab de diya mujh hi ko tha jo ikhtiyaar mein

Parda hai unka zevar haya imaan unka

Un si koi alamat nahin istiaar mein

ASIM ki iltija pe itna karam tum karna

Kutba lagana ammi mere mazaar mein!

- Khan M. Asim... 20/12/2011... 11:20PM!

Sunday, December 18, 2011

Mit gayin dooriyaan ik mulaqaat se..!


Mit gayin dooriyaan ik mulaqaat se

Pyaar badhta raha uski har baat se

Usne muska ke humko jo dekha kabhi

Aag si lag gayi bheegi barsaat se

Jab pehlu mein aakar ke beithe mere

Chal diye door tak vasl ki raat se

Ek saazish kahin pe sitaaron ne ki

Dil nikal aaye apney hijabaat se

Har ada se numaayan woh andaaz tha

Koi roshan nahin tha uss zaat se

Khud pe qaabu rakhein hum bhala kab talak

Qadm badhne lagey apni awqaat se

Pyaar se pyaar ka yeh safar hai hasin

Hogaye hum judaa saari hajaat se

Ab bichadna haan usse ganwara nahin

Dooriyan kar chuke aise halaat se

Uski qurbat ka ASIM alag hai mazah

Ik nasha cha raha bas khayalaat se!

- Khan M. Asim... 18/12/2011... 3:34 PM!

Saturday, December 17, 2011

Jaane aisa kab hota hai..!


Jiska jug mein koi nahin hai uska saathi rab hota hai

Mar jaate hain log yeh kehkar jaane aisa kab hota hai

Theis lage hai man mandir mein ujda saawan lagta hai

Raat ki baatein din ko rulayein aisa jab jab hota hai

Qatil baatein dard ki aahein aur isse hum kitna sarahein

Itni mushkil itna jhagda kyun yeh har shab hota hai

Dil mein gadhi hain kadvi kaseli tursh zaher se baatein uski

Kitni gudh ki dheili dedo pheeka pheeka lab hota hai

Kis se maangein dil ki muradein kaun yahan hai dene waala

Mann se bhi toh pyaar karo tum kehne se kab sab hota hai

Ashk si namkin koi nahin shey ek dawa yeh darde dil ki

Ho jaate hain dost paraaye ASIM aisa tab hota hai!

- Khan M. Asim... 17/12/2011... 1:00PM!

Jab jab uske hont hiley..!


Jab jab uske hont hiley

Ik shayar ka dum nikla

Khud ko hi aala samjha

Kya khub apna bharam nikla

Sehra aur uske aansu

Rezah rezah num nikla

Khoob kahin ghazlein uspe

Par baaton mein ghum nikla

Kisse dil ki baat ho ASIM

Sab se rishta kum nikla!

- Khan M. Asim... 17/12/2011... 12:13 PM!

Monday, December 12, 2011

Wujood-e-Kaamil


Khayaale mutlaq, wujoode kaamil

Chahar sun mein tu hi hai shaamil

Kohe sina pe jalwah tera..

Hira mein tera hai basera..

Shaan waale teri hai azmat...

Tu hi hai aalim tu hi hai aamil..!

Khayaale mutlaq, wujoode kaamil

Chahar sun mein tu hi hai shaamil..!

Azal abad tak hai zaat teri...

Sab se aala hai baat teri..

Kainaaton pe saltanat hai..

Shams o tariq sifaat teri...

Bandagi ka tu hi hai haamil...

Khayaale mutlaq, wujoode kaamil

Chahar sun mein tu hi hai shaamil..!

Deewar o dar mein nihan tu hi hai

Kabhi na thakta rawaan tu hi hai

Tu hi dilon mein tu hi ragon mein

Jahan bhi dekhun wahan tu hi hai...

Tere hi dum se sabhi awamil...

Khayaale mutlaq, wujoode kaamil

Chahar sun mein tu hi hai shaamil..!

- Khan M. Asim... 12/12/2011... 11:30PM!

Saturday, December 10, 2011

Woh aa beithe khuda ke ghar mein..!


Khoob hai parkha khoob hai jaana

Ishq nahin yeh pehli nazar mein

Mann mandir mein aag lagi hai

Woh aa beithe khuda ke ghar mein

Din ki raunak unki nigaahein

Aayi hai shab bhi unke saher mein

Bhool gaye hum apne fun ko

Aaye woh jab se apne shaher mein

Kaisa hoga dast-e-qaza ab

Chain nahin hai koi paher mein

Jannat, Dozakh jo woh dede

Ishq hai bandha rakht-e-safar mein

Teir rahey hain ishq laher mein

Band hain ASIM unke asar mein! ASiM

- Khan M. Asim... 10/12/2011... 1:50PM!

Monday, December 05, 2011

Tu bhi sun...!


Daastaan ankahi, ishq ki tu bhi sun

Tu bhi sun tu bhi sunnn tu bhi sun..!

Baat yeh dard ki tu bhi sun

Tu bhi sun tu bhi sunnn tu bhi sun..!

Khilwaton mein kahin, naqsh tera nahin

Aasmaan mein kahin chaand thehra nahin,

Raat ki arziyaan tu bhi sun...

Tu bhi sun tu bhi sunnn tu bhi sun..!

Be-khatar aashiqi jaane jaan hum ne ki

Be-wajah dillagi jaane jaan hum ne ki

Waqt ki ghaltiyaan tu bhi sun...

Tu bhi sun tu bhi sunnn tu bhi sun..!

Ishq darta nahin pyaar marta nahin

Kaun hai jo yahan pyaar karta nahin

Ishq hai darmiyaan tu bhi sun

Tu bhi sun tu bhi sunnn tu bhi sun..!

- Khan M. Asim... 05/12/2011... 01:46 AM!