Monday, April 30, 2012
Friday, April 27, 2012
Hum ko tum se pyaar hai..!
Nasha sa hai khumaar hai
Hawaon mein sharaar hai
Keh rahin hain dhadkanein
Hum ko tum se pyaar hai..!
Sama hai yeh shabab pe
Hai noor maahetaab pe
Nazar hamari tik rahi
Bas aapke jawaab pe
Suni suni si baat hai
Ke dil yeh beqaraar hai
Keh rahin hain dhadkanein
Hum ko tum se pyaar hai..!
Najaane kis tarah mile
Baagh mein yeh gul khile
Chaman sabhi lahak raha
Hain dil jawaan hile hile
Kahan se kaun gul chuno
Tumhara ikhtiyaar hai
Keh rahin hain dhadkanein
Hum ko tum se pyaar hai..!
Yeh kya hua haan aaj hai
Ke dil yeh mohtaaj hai
Na saltanat na taaj hai
Kya ishq ka rivaaj hai
Cha raha haan har taraf
Husn ka hisaar hai
Keh rahin hain dhadkanein
Hum ko tum se pyaar hai..!
Hoor hai haseena hai
Ya koi nageena hai
Shama hai tu shameena hai
Ya koi sakeena hai
Zahen sheerin khayaal se
Na dhoondta faraar hai
Keh rahin hain dhadkanein
Hum ko tum se pyaar hai..!
Nasha sa hai khumaar hai
Hawaon mein sharaar hai
Keh rahin hain dhadkanein
Hum ko tum se pyaar hai..!
- Khan M. Asim... 27/04/2012... 03:08 AM!Posted by Asim Khan at 3:27 AM 0 comments
Labels: meri shayeri..., romantic
Wednesday, April 25, 2012
Kya khabar kya pata..!
Har ada mushtabah, muzmahil si subah
Kaisa jayega din? kya khabar kya pata
Raat aankhon kati, chaand pe thi ghata
Khwab gum the kahan kya khabar kya pata
Hasratein mar chuki, khoye armaan hain
Kaisa hai imtihaan kya khabar kya pata
Har taraf ik dhuan aur yeh hai ibtida
Kaisi hai inteha kya khabar kya pata
Koshishein ki bahut, hosley se ladhe
Haar phir kyun mili kya khabar kya pata
Jin ko apna kaha, jin ki khaatir jiye
Woh milenge kabhi kya khabar kya pata
Asim raah se na darr, jaari rakh tu safar
Raah humwaar ho kya khabar kya pata!
- Khan M. Asim... 25/04/2012... 12:30 PM!
Posted by Asim Khan at 12:40 PM 0 comments
Labels: meri shayeri..., romantic
Saturday, April 21, 2012
Kahan jaayegi leke aarzu humko..!
Haar bhi dekh li, jeet bhi dekh li
Kahan jaayegi leke aarzu humko
Zindagi loot kar legayi sab magar
De gayi bas teri justuju humko
Raahatein toh mili baat tujhse jo ki
Tishnagi degayi teri guftugu humko
Ainey mein tera aks thehra nahin
Tu bhi milja kabhi rubaru humko
Tere ehsaas se saans yeh chal rahi
Khwab mein tu mile hubahu humko
Raat aur dhadkanein dono hi tez hain
ASIM woh degayi mehngi khushbu humko!
- Khan M. Asim... 21/04/2012... 02:15 AM!
Posted by Asim Khan at 2:27 AM 0 comments
Labels: meri shayeri..., romantic
Monday, April 16, 2012
Yeh raat badi lambi..!
Hai tujh se judai ki yeh raat badi lambi
Aa tujhko pukare hai yeh raat badi lambi
Hasrat hai tujhe dekhein chahat hai tujhe chu lein
Aankhon mein teri kaatein yeh raat badi lambi
Duniya hai yeh chandan ki aur waqt sapera hai
Aaa jaa ke dass lein hum yeh raat badi lambi
Maana ke nahin humraaz, humdard koi apna
Chal milke kahin kaatein yeh raat badi lambi
Jugnu hai sawali yeh qasid bhi hai rehbar bhi
Ik noor se roshan hai yeh raat badi lambi
Ik zakhm sulagta hai, ik dard utha sa hai
Shabnam se rava kar dein yeh raat badi lambi
Ik saher jaga de Tu haan saher ke hone tak
Zulfon mein chupa le tu yeh raat badi lambi
Ik aag laga kar tu, Asim ko dhuan kar de
Kaghaz se mita de Tu yeh raat badi lambi!
- Khan M. Asim... 16/04/2012... 02:45 AM!
Posted by Asim Khan at 12:54 PM 0 comments
Labels: meri shayeri..., romantic
Saturday, April 07, 2012
Raat ke jugnu pooch rahe hain..!
Raat ke jugnu pooch rahe hain kyun ugta hai din ka sooraj
Khilwat ko beparda karne, Chanda ko aankhon se churane
Kitna puakaro khwaab mein unko rehte hain aakashon par
Kitney din lag jaatey hain, apnon ki baaton ko bhulane
Koi kaise samjhe duniya, rehbar, dilbar beet gaya jo
Aankh ke moti gaate hain bas unki hi yaadon ke tarane
Aa kar chup se haath pakadna mitti ke bartan pe ladna
Aankh micholi, chor sipahi, tadpate hain khel purane
Boojh rahe hain kapde, bistar, deewaron se ek fasana
Hum rehte the saath tumhare aayenge ab kab woh zamane
Dil rota hai haal pe unke, jo panchi hain roonthe roonthe
ASIM shiddat bhi hai lekin, kaise jaayein unko manane!
- Khan M. Asim... 07/04/2012... 01:48 PM!
Posted by Asim Khan at 1:57 PM 1 comments
Labels: meri shayeri...
Monday, April 02, 2012
Sitara mar gaya!
Roshni...
Aakhri daraar se
Gum hogayi..!
Zindagi ki surang
Zulmaat mein doobi
Har mod pe andhera
Har dahane pe tareeki...
Nakaamiyan,
Firaun ke lashkar ki tarah
Yahudi basti par toot padin
Har taraf,
Ek tasalsul, ek tasallut,
Ik shor, ik jashn,
Na tajalli, na takallum,
Mad-mast lamhe
Aur sadiyon ki khamoshi...
Dil ke bazaar ka
Utaar, Chadhao
Mandi mohabbat
Aur mehnge auhdey...
Tadapti rooh
Doobti saansein
Aakhri jugnu
Raat ki cheekh
Aur,
Sitara mar gaya..!
- Khan M. Asim... 02/04/2012... 02:22 AM!
Posted by Asim Khan at 2:53 AM 0 comments
Labels: meri shayeri...
Subscribe to:
Posts (Atom)