skip to main |
skip to sidebar
Ta-a-qub kia hum ne door aasmaan tak
Magar dhundlakon mein bhi khudko na paya
Abhi tak koi raah na yazdaan ko pahunchi
Jahaan tak hua humne sar ko jhukaya
Magar jab chali na anaa ki parastish
Wahi yaad aaya jisey tha bhulaya
Kisey keh dein mujrim haan ruswaiyon ka
Ke naamoos ko khud hi ruswa karaya
Sar-e-manzil aake huwey hosle past
Haan apne hi saaye ne hum ko daraya
Kahan kho gayi sab mohabbat ki baatein
Ke khwabon se hum ko yeh kisne jagaya
Huwa kis qadar hai gunahgaar ASIM
Zara darguzar tu bhi kar de khuadaya!
- Khan M. Asim... 30/04/2012... 02:00 PM!
1 comment:
meri ghazal pe kya bargad ki chudail comment karegi..! hehahahhaa...
Post a Comment