Tuesday, September 25, 2012

Mann ke bheetar koi mujhse bol raha hai..!


Mann ke bheetar koi mujhse bol raha hai
Kankar patthar apne saare tol raha hai
Mein kehta hun ruk ja itni jaldi kya hai
Kyun lafzon ke paikar saare khol raha hai
Harf harf ki lanat mujh pe aa pahunchi hai 
Kyun zakhmon ko aise tu tatol raha hai
Itne bhi kamzor nahin hain keh dete hain
Jo ASIM se beir tu aise mol raha hai! 

- Khan M. Asim... 12/09/2012... 10:45 PM!

Yarghmal..!


Yeh shab-gazidah saher
Yeh tufeli noor 
Yeh maqruz shams
Qamar e bequsur
Adhuri kahani aur
Dastan maghrur
Zist ik beej se namu pa kar
Aa gayi bahut door
Nakami la taskhir 
Tasavurat ki duniya
Takhaiyulat ke pekar
Tabkhir hote khwab
Dhuan dukhan kohar
Sarkash anaa
Meelon sanglakh
Dile shehsawar shal
Majruh fahem
Majbur mohabbat
Daridah fasana
Ehsase bebasi
Ashkbari bedari
Shabe qayamat
Shikasta Yarghmal
Mein? 

Khan M. Asim... 13/09/2012... 10:30 AM!

Chanda phir kyun akela hai..!

Rut aayi hai dekh Milan ki
Chanda phir kyun akela hai
Saara jug hai roshan roshan
Kyun dil mein andhera phela hai
Rut aayi hai dekh Milan ki
Chanda phir kyun akela hai..!

Lamhey kyun itne hain magan
Tan Mann mein laagi hai agan
Pheeka hai kyun yeh saawan
Kho di kyun phoolon ne lagan
Majnu bhi junu ko bhoola hai
Maloom kisey kya laila hai...
Rut aayi hai dekh Milan ki
Chanda phir kyun akela hai..!

Milne ke kiye they vaade jab
Sab bhool gaye woh lamhe ab
Toote hain shikasta beithe hain
Kya hoga aagey jaane rabb...
Kuch din mein pata chal jayega
Kya khel muqaddar khela hai...
Rut aayi hai dekh Milan ki
Chanda phir kyun akela hai..!

Simtey hain khud hi ki baahon mein
Yaan khaar bichey hain raahon mein
Girtey hain ulajhtey rehte hain
Hum yunhi apni nigahon mein
Auron ke Milan ki rut hai yeh
Bas apni judai ka mela hai...
Rut aayi hai dekh Milan ki
Chanda phir kyun akela hai..!
- Khan M. Asim... 25/09/2012... 01:30 AM..!

Saturday, September 08, 2012

Faasla..!


Faasla hum ne kaisa yeh kar Lia
Raah ko chod kar raasta kar lia
Haan magar yaad hain Teri parchaiyaan
Hum ne yun aah ko saans mein bhar Lia...
Faasla hum ne kaisa yeh kar lia..!

Zindagi mein junoon tujh se gehra na tha
Bewafa Tu magar phir bhi mera na tha
Din kahin kho gaya Teri zulmaat mein
Dhundlakon mein kahin bhi sawera na tha...
Hum ne tere junoon ko darguzar kar Lia
Faasla hum ne kaisa yeh kar Lia!

Ab Teri yaad ko hi bhula denge hum
Har tere khwab ko yun sula denge hum
Tera armaan na Teri hai aarzoo
Teri har baat ko yun bhula denge hum...
Bewafa hum ne bhi khud ko yun kar Lia
Faasla hum ne kaisa yeh kar Lia..!

- Khan M. Asim... 07/09/2012... 02:00 PM!

Tuesday, September 04, 2012

Mizaj..!

Koi aatishfishan sa hai
Mann mein kohram sa hai
Dil ki cheekhein hain bahut
Lekin aawaaz nahin...
Ik sitara chamakne waala tha
achanak toot gaya
Kisi khwab ki tabeer gayi
Kisi sawab ki taseer gayi
Mujh mein lashkar the kayi
Jinki awaaz tha mein

Aasmaan mera aseer
Oonchi parwaaz tha mein
Lafz anmol toh hain
Lekin bikte hain bahut
Sare bazaar kahin
Pada hun mein bhi
khud se naraaz bhi hun
Ahtijaj bhi hai
Aur bikhra hua mizaj bhi hai!

Khan M. Asim... 04/09/2012... 01:15PM!

Aasmaani roop..!


Aasmaani roop dekho khil raha hai badalon mein
Naam uska phir utha hai haan dilon ki chahaton mein!

woh haseen hai mehjabeen hai
Baat usko yeh pata hai
Chup rahi hai aainon se
Woh sharam hai woh haya hai
Chal raha hai uska charcha
Saare lamhey, sa'aton mein
Aasmaani roop dekho khil raha hai badalon mein..!

Thaam Li hain uss ne nazrein
Mujhko ab kuch soojhe na
Yeh dua hai rabba tujhse
Mujhse ab woh roothe na
Iss jahan ki gardishon mein
Uska rukh hai raahaton mein
Aasmaani roop dekho khil raha hai badalon mein
Naam uska phir utha hai haan dilon ki chahaton mein!

Chaand taare phool khushbu
Naam uske behtareen hain
Aasmaan ho ya ho dharti
Rang uske har kahin hain
Bhoola hun mein saare jug ko
Bas wahi hai khwahishon mein...
Aasmaani roop dekho khil raha hai badalon mein
Naam uska phir utha hai haan dilon ki chahaton mein!

- Khan M. Asim... 01/09/2012... 09:14 PM!

Saturday, September 01, 2012

Aye kaash mera mehboob koi but hua hota..!

Aye kaash mera mehboob koi but hua hota
Kum az kum ik baat pe toh khush hua hota!

Ya mein hota paazeb ka ghungru uski
Uss ne bhi muska ke ik baar chua hota!

Ban beithe sawali kyun raat ke afsaane
Hoti na pashemani gar dil na dia hota!

Itni hai kisey fursat jo pyaar karey hum ko
Kehne se zara pehle lafzon ko chuna hota!

Na jaane kisey milti gar hum na uthate haath
Aye kaash kabhi hum ne honton ko siya hota!

Shamsheer o sana chodi hum likhne lage usko
Haqq baat agar kehte har harf dua hota!

Aye kaash kabhi dil ki bakbak na suni hoti
Jumla bhi ada hota vaada bhi wafa hota!

Yeh aalame beparwah kya qadr karey ASIM
Taqdeer ne hum se yeh dhoka na kia hota!

- Khan M. Asim... 01/09/2012... 01:50 AM!