skip to main |
skip to sidebar
Ek patthar, do patthar
Door tak beshumar patthar
Aabley hain qalbo jaan pe
Qalb bhi hai yaar paththar
Ris rahe jo nayan se taptap
Hain ashk nala fugaar patthar
Umeed tujhse rakhein toh kaise
Waqt ka hai mayaar patthar
Nazar milayein yahan pe kis se
Lagey hai sara bazaar patthar
Kahan chupi hai tu kaamraani
Shikasta qismat sawaar patthar
Rahega kaise ragon pe qaabu
Munfail hum shuaar patthar
Abhi toh ASIM yeh ibteda hai
Muntazir hain hazaar patthar!
- Khan M. Asim... 25/02/2013... 01:36 PM!
Koi bhi khwaab ho mera, woh aise tod deti hai
Mujhe beichain kar ke woh tanha chod deti hai
Badi mushkil se mein iss dil pe qaabu pata hun
Badi aasaaniyon se woh mujhe jhinjod deti hai
Samandar ka sawahil ka manzar khub hai lekin
Jahan langar dikhai de woh kashti mod deti hai
Koi bhi khwaab ho mera, woh aise tod deti hai..!
- Khan M. Asim... 16/02/2012... 02:00 AM
Phir se hui matmeli subah
Bistar pe kahin dil bhi hai pada
Na kaam ki chaah Na naam ki zid
Mazdoor faqat mehnat mein laga
Khamosh kahin hiss bhi hai hui
Na soongh ki gun na sun ki sada
Sozish hai kahin, lamhon ki chubhan
Saanson mein faqat ik dard pala
Marzi bhi nahin, arzi bhi nahin
Ghalib hai koi, taaqat mein bada
Nadaar hai woh nadaan hai woh
Munsif bhi bana adyal bhi raha
Yaktarfa nahin, dono ko hui
Anmol kashish, beparwah wafa
Asim hain kahin insaan yaan gum
Bas wast-e-wafa mazhab hai khada!
- Khan M. Asim... 12/02/2013... 11:27 AM!
Zindagi talkh haqeeqat, hum bhi khatawaar rahe
Guftugu khud se hi ki, aur sab ki sama'at samjhi
Husn ki deed rahi, ishq mein eid rahi
khoob rangbaazi Kari.n, aur usko ibadat samjhi
Matla toh saaf tha par, naaseh hi theek na tha
Raahon mein bhatke rahe, aur usko hidayat samjhi
Nukta-chin aur bhi the, koi chupa tha khud mein
Aina kehta raha, aur hum ne shikayat samjhi
Munqata sab se huwe, koi ta'lluq na raha
Nein jo tirche pade, bas usko inayat samjhi
Khud se maghroor huwe, ik taqabbur mein rahe
Sinfe naazuk se ladey, aur usko shuja'at samjhi
Dekh ASIM tu safar, yeh kisko rafaqat samjhi
Dil munajaat mein tha, aur tu ne raqabat samjhi!
- Khan M. Asim... 05/02/2013... 09:17 AM!
Words - Meanings:
Zindagi - life, Talkh - bitter, haqeeqat - reality, khatawar - culprit, miscreant, guftugu - conversation, sama'at - listening, hearing, husn - beauty, deed - seeing, ishq - love, eid - happiness, rangbaazi - coloured (life), ibadat - worship, Matla - sky, saaf - clear, naaseh - mentor, advisor, raah - path, bhatke - astray, hidayat - guidance, Nukta-chin - critic, chupa - hidden, khud - self, Aina - mirror, shikayat - complaint, Munqata - terminated, ta'lluq - relation, Nein - eyes, tirche - slant, awry, inayat - favour, kindness, maghroor - arrogant, taqabbur - might, Sinf - gender, naazuk - soft, shuja'at - bravery, Safar - Journey, rafaqat - freindship, munajaat - imploring god, raqabat - enmity..!