Friday, June 21, 2013

Tujhe pyaar karte karte..!

Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon
Teri baahon mein simat ke
Mein khudi ko bhool jaon
Mujhe aisa jaam dede
Ke nashe se uth na paon
Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon..
Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon
Teri baahon mein simat ke
Mein khudi ko bhool jaon
Mujhe aisa jaam dede
Ke nashe se uth na paon
Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon..!

Kyun ho chaandni ki chahat
Jo mere hai paas mein tu
Meri raat mein ujala
Jo mere hai rubaru tu
Tere jism mein sama ke
Mein saher ko chu ke aaon
Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon..
Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon
Teri baahon mein simat ke
Mein khudi ko bhool jaon
Mujhe aisa jaam dede
Ke nashe se uth na paon
Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon..!

Rahein saans ukhdi ukhdi
Hon labon pe larzishein bhi
Mitey pyaas dhadkano ki
Baney eid khwahishein ki
Mujhe woh khumaar de tu
Ke tere hi geet gaon
Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon..
Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon
Teri baahon mein simat ke
Mein khudi ko bhool jaon
Mujhe aisa jaam dede
Ke nashe se uth na paon
Tujhe pyaar karte karte
Mein jahaan ko bhool jaon..!

Khan M. Asim... 21/06/2013... 12:44 AM..!

Sunday, June 16, 2013

Jaana'n tum gayi kahan..!


Jaana'n tum gayi kahan
Tumko dhoonde hai bahut
Deewaana yeh dil mera
Awaarah yeh dil mera
Jaana'n tum gayi kahan..!

Naqshe sehra bhi Mila
Dard gehra bhi Mila
Tera chehra na Mila
Ik andhera hi Mila
Kitne chehre hain magar
Kaun apna hai yahan
Jaana'n tum gayi kahan
Tumko dhoonde hai bahut
Deewaana yeh dil mera
Awaarah yeh dil mera
Jaana'n tum gayi kahan..!

Raat hoti hai magar
Din nikalta hi nahin
Rooh jalti hai magar
Dum nikalta hi nahin
Tere jalwe ke liye
Jism jalta hai yahan
Jaana'n tum gayi kahan
Tumko dhoonde hai bahut
Deewaana yeh dil mera
Awaarah yeh dil mera
Jaana'n tum gayi kahan..!

Kitne tanha hain hum
Koi humdum hi nahin
Zindagi Tera bina
Zinda ab hum nahin
Taare mutlashi hain yeh
Dhoonde hai aasmaa'n
Jaana'n tum gayi kahan
Tumko dhoonde hai bahut
Deewaana yeh dil mera
Awaarah yeh dil mera
Jaana'n tum gayi kahan..!
Khan M. Asim... 09/06/2013... 12:42 PM..!

Fabi ayyi alai rabbikuma tukazzibaan..!

Rab ne banaya saara jug, rabb ne hi insaan
Phir bhi naadaa'n tu rabb ke bhool gaya ehsaan
Rabb ne tera jism banaya, rabb ne bakhshi jaan
Fabi ayyi alai rabbikuma tukazzibaan..!

Maula ka karam hai, maula ka rahem hai
Yeh kaam yeh daulat maula ki nawazish
Jo tu ne maanga aur jo na maanga
Maula ne ata ki teri har ik khwahish
Ya naam yeh rutba, maula ki inayat
Maula ne hi bakhshi tujhko bandey unchi shaan
Fabi ayyi alai rabbikuma tukazzibaan..!

- Khan M. Asim... June 12, 2013 at 12:36pm..!

Sunday, June 02, 2013

Junoo'n hai raasta mera, faqat tu hai meri manzil..!

Junoo'n hai raasta mera, faqat tu hai meri manzil
Jahan dekhun wahan tu hai, tilismi hai Teri mehfil


Tera milna, tera jaana, muqaddar ka sitam jaana
Nazar khoyi suku'n khoya, faqat tu hai mera haasil

Nigaah jhukti toh dil dola, nigaah uthti toh dil dehla
Abas kajal ki parton mein nihaa'n beitha mera qaatil 

Safar lamba, wasal kotah, hasi'n lamhe jiye hum ne

Talatum tod kar saare, mila kashti ko khud saahil

Bahut tashbih, bahut tasmih hui hai ishqe nadaa'n ki
Magar hum ne faqat jaana, ishaq hota nahin kaamil

Adhura tha kabhi mein bhi magar ab poora poora hun
Mahek teri hai saanson mein, adaon mein hai tu shaamil 

Bahut jaana, bahut parkha, zamaaney ke khudaon ko
Magar baatin ne dikhlaya ke ASIM woh nahin ghaafil

- Khan M. Asim... 02/06/2013... 04:32 PM..!

Saturday, June 01, 2013

Tum se bichadna maut hamari..!

Tum se bichadkar kaisa jeena
Tum se bichadna maut hamari
Toot rahi hai andar, andar
Bikhri bikhri zaat hamari...
Tum se bichadkar kaisa jeena
Tum se bichadna maut hamari..!

Shab ki baatein dil hi jaaney
Dil mein kitne hain afsaaney
Jhool rahe hain baahon mein bas
Dasht mein phirte do deewaney
Aah bhari hai phir iss dil ne
Dard jagayein yaadein tumhari
Tum se bichadkar kaisa jeena
Tum se bichadna maut hamari
Toot rahi hai andar andar
Bikhri bikhri zaat hamari
Tum se bichadkar kaisa jeena
Tum se bichadna maut hamari..!

Tum se jaate hanskar milna
Majboori thi kaisi hum pe
Aankhein num thin, ghum hi ghum tha
Kaise kehte baalam tum se
Kaajal mein hum doob gaye they
Saansein le gayi zulf tumhaari
Tum se bichadkar kaisa jeena
Tum se bichadna maut hamari
Toot rahi hai andar andar
Bikhri bikhri zaat hamari
Tum se bichadkar kaisa jeena
Tum se bichadna maut hamari..!

- Khan M. Asim... 30/05/2013... 08:05 PM... Train..!