Monday, December 25, 2006

Dua o Shikayat


Hi frnds.......this poem i wrote when i was hospitalised due to malaria..
********************************************


Jisne paida kiya yeh zameen aasman

Hai woh saare zamane ka malik kahan

Yun to Khaliq hai woh aur Raziq bhi hai

Par pareshaniyon me gaya woh kahan.........!

Han tu shahrag se bhi meri nazdeeq hai

Mujhse parda na kar apna jalwa dikha

Apna raham o karam zara mujhpe luta

Bhej mujhko wahan sukoon mile hai jahan.....!

Tere ahkaam ko mein na bhoola kabhi

Tu meri zindagi ko ab yun na bujha

Halat-e-zaar hai banda bemaar hai

Apni takhleeq ko bakhsh de tu shifa

Tera deedar ho itna armaan hai

Ae Malik mere tu nihan hai kahan....!

Mere qalb-o-jigar tere paband hain

Jaam-e-jamshed tu mujhko karde ataa

Meri dhadkanon me tera geet hai

Hai tera naam meri ragon me rawan....!

Tera mehmaan hai aur musalmaan hai

Kare kya kare woh pareshaan hai

Itna ahsaan kar jeena aasaan kar

Pass karne de mujhko mera imtihan....!

Mana maghroor hai ASIM mazoor hai

Maaf karde tu meri har ek khataa

Bakhsh de tu mujhe aur tandrust kar

Ba-sadqae Sayyade(PBUH) dono jahaan...!



Khan M. Asim ....07/10/2006...

1 comment:

thewhizard said...

Dear Asim,

No offence meant, but I can feel a tinge of Allama Iqbals "Shiqwa jawaabe shiqwa" in your poem. But let me tell you very honestly - Allama Iqbal was a great and highly learned person - we cannot try and reach his standards. Please be very careful with your wordings - I feel they might be going a bit overboard.