Wednesday, August 15, 2007

Ab jaag bhi jao!


Insaan se aaj insaan pareshaan hogaye

Shaitaan se bhi ziyadah shaitaan hogaye

Ghairat ko apni bhoolkar izzat ki roti chod di

Haatim ka rasta chodkar Haamaan hogaye

Koi achcha mile hai toh usse ahmaq samajhte hain

Lo insaan parind se bhi naadaan hogaye

Kahin atom ke phatne se laakhon jaan jaati hain

Hiroshima-Nagasaki sunsaan hogaye

Zamana-e-haal mein ab to sab inhin ke geet gaate hain

Blair-Bush hi ab samjho bhagwaan hogaye

Giri hain laash itni ke, farishte hain dua dete

Jo mushkil kaam the sab hi toh aasaan hogaye

Kabhi Hamzah (RA) to kabhi Yaseen (RA) ne khoon bahaya hai

Nahin jhuke mazhab ki aan pe qurbaan hogaye

Kiya hua iss quam-e-aakhri payambar ko

Musalmaan aaj darkar kya bejaan hogaye?

Utho phir aaj, tum kisi se kum nahin Musalmaanon

Chod do ye be-imaani, kaala-baazaari...

Islaam phir se uththega agar tum yakja hogaye

Musalmaan gar sahi mainon phir mein Musalmaan hogaye!

- Khan M. Asim...21/05/2004...3:40 AM...

2 comments:

Faiz said...

Ye mahez Khuda se naa darne ka anjaam hogaya, k aaj musalmaan blair aur bush ka ghulam ho gaya. Apni tehzeeb'on se samjhout'ae ka aaj ye anjaam hogaya, k zindagi (musalmano) ka maqsaad bas dhan, naam aur shaan hogaya.

@Asim Bhaai

Mashallah laa'javab likha hai bhaai... bahot khub. I want you to write some more such verses concerning the same subject ;)

Asim Khan said...

its my duty....