Thursday, November 29, 2007

Kaise kahan tum...!


Kaise kahan tum kho gayi duniya ke bazaar mein

Thoda pyaar to dedo humko naqad nahin toh udhaar mein

Tumse maangi dil ki khwahish tumse dil ko lagaya hai

Aise waise bahut pade hain aise to sansaar mein

Dekho yahan pe rote sab hain rediff-yahoo pyaar mein

Lamha lamha beitha hai bas tumhare intezaar mein

Taj Mahal ko dekhe hain sab Taj Mahal shahkaar hai

Dekhen humko sab hain takte jo hum kahen inkaar mein

Tumse mohabbat karne ka haan humko bhi adhikaar hai

Itna bharam to baaqi hai haan apne bhi aitbaar mein

Deewaane hain kitne tumhare Mumbai kia Bhopal mein

Phir bhi shiddat thodi toh hai apne bhi izhaar mein

Yun to humse bahut pade hain humko kab inkaar hai

Haan tumko humne maang liya hai bhagwan ke darbaar mein

Kaise kahan tum kho gayi duniya ke bazaar mein...!

- Khan M. Asim...28/11/2007...11:43 AM...

Wednesday, November 28, 2007

Tumhare naam ek aur ghazal...!

Koi rukhna zindagi mein aajaye

Yeh mere geet gunguna lena

Mein shayad na rahun zamane mein

Mujhe lamhon mein tum chupa lena

Aazmaaishon se ghabrakar

Mujhko na yun bhula dena

Jo kabhi tassavvur mera aaye tumko

Bas yunhi muskura dena

Jeene marne ki baatein kia karun tumse

Jab zaroorat pade aazma lena

Haan ASIM bhi koi deewana tha

Yun hi qatra koi gira dena...!

- Khan M. Asim...18/11/2007...3:40 AM...

Monday, November 26, 2007

Tumhi se!


Shayad tum sun rahi ho?

Mere jazbaat ko ehsasaat ko

Kisi lamhe mein yeh baat nahin khapti

Hazaar tar ke kiye tumhe bhulane ke

Magar ek dard jo ke jonk ban chuka hai

Mujhe jakad raha hai

Mein koi shayar nahin na koi majnu

Yeh kashish jo jo tum mein hai, kuch ajeeb hai

Mein hamesha ismein maani khojta hun

Magar tumhari woh khoobsurat baatein

Kho jaane pe majboor karti hai

Yeh koi shairi nahin, na meri koi ada

Yeh sarapa husn hai goya koi hoor utar aayi ho

Hazaarha iss jazbe ko darguzar kia

Magar ik kasak abhi dil mein baaqi hai

Khayalaat ke ek fauj zahen ke dareechon ko rondh rahi hai

Kabhi yeh koi deewaanon ka lashkar lagta hai

Toh kabhi tumhare neinon ka nashtar

Har jazba ek naye sooraj ki tarah tulu hota hai

Tumhara har payaam zindagi sa lagta hai

Hamari mulaqatein yeh takraar

Kisi tareef ki mohtaaj nahin

Tumhein yeh iqraar nahin aur mujhe inkaar nahin

Mein shayad hi kabhi woh dil ki awaaz sun paon

Jo har saamey ko deewana bana deti hai

Magar yeh khayaal mujh jhanjhodta hai

Aakhir Kyun?????

Tumhara har payaam apna bhi hai paraya bhi

Dil kehta hai tum meri ho, zahen iskki nafi karta hai

Tum har waqt mujhpe haavi ho magar mere qareeb nahin

Yeh suraab yeh saher kaisa hai?

Har aahat tumhari hai aur tum maujood nahin

Shayad hi kabhi mein in alfaaz ko maani pehna sakun

Hum shayad hi kabhi ek ho paayen magar ek toh hain!

Tum jaanti hi ho mere har andaaz ko

Magar tum shayad hi kabhi samajh pao

Kya tum sun rahi ho?

Mere inn alfaaz ko?

mein tumhi se goya hun...

Tumhi se!

-Khan M. Asim...November 26, 2007...2:50 AM...

Wednesday, November 21, 2007

Mohabbat

Huh, 101...I thought alot what to post now? so guys here is the begining of a poet, I wrote this faaltu-bhangaar song when I was hardly seven or eight years' old. Well, this is not the first one, I m checkin few poems but it seems very tough to find my first words. I think it was standard 3rd or may be 4th and I was in love :P hehehe...

Iqrar karna seekho, Haan pyaar karna seekho

Mehboob se mohabbat ka izhaar karna seekho

Kehta hai apna dil bhi karne ko kuch mohabbat

Haan yaar karna seekho Iqraar karna seekho

Mehboob se mohabbat ka izhaar karna seekho

Dil se dil milenge toh hawayen jhoom jayengi

Mohabbat ka tarana hai deedaar karna seekho

Mohabbat ki hai tumne toh iqraar karna seekho

Haan pyaar karna seekho haan pyaar karna seekho

mehboob se mohabbat ka izhaar karna seekho

- Khan M. Asim...year 1995...I don't remember the date n time...

Friday, November 16, 2007

Kainaat...100th post!

This is my 100th post on this blog. So, i thought to post something romantic, which can make u smile not cry (if u wanna cry, u can check my other poems...infact my 99th post). This small poem - Kainaat, I wrote on request of my friend Chandradeep Jaiswal, when we were in first year of BMM. But, here i m dedicating this poem to my love, my dream girl...the fairy...Raqqasa...Liwan-e-jamshedi, Rooh-e-khulde bareen...i call her with so many names...she stays in my philosophical world and here i am happy with her, so please dont disturb!:)

Tumhari aaankh zameen hai

yeh zulf aakaash-ganga

Chehra mein sooraj ki si taab

Rang hai ke chaandni goya

Mausamon ko badalne-waali muskurahat

Abru eid ka chaand, toh

Palken sehar-o-shab ko janam deti hain

Rukhsaar mirreekh ki tarah laal

Kahin zohra to kahin zohul jhoom rahe hain

Dhadkanen lamhon ko bedaar karti hain

Chaal hai ki sitare jhilmila rahe hain

Tumhara adam taariki toh wujood noor hai

Tum mein yeh kainaat basi hai

Haan, tum sarapa kainaat ho...!

-Khan M. Asim...30/08/2005...9:40 AM...Train...

Meine nahin pi hai!


Mekhana hai, sharab hai, surahi hai, nasha hai

Phir bhi mein keh raha hun meine nahin pi hai

Tujhse suroor paa ke har koi jhoomta hai

Phir kyun yeh keh raha hai meine nahin pi hai

Yeh ghum, alam tanhai hisse mein mere aayi

Aasoodgi sada ki meine tujhe di hai

Bhool jaon tujhe ghazal samajhkar apni?

Makhmoor hun magar meine nahin pi hai

Tumsa koi pila de toh chudun na jaam mein

Tumsa koi milega? meine nahin pi hai

na chill maar sakta hun na dil maar sakta hun

Aankhen hui tarasti bas tishnagi di hai

Tum ko sarapa dekhkar shayad hi ji sakun

Yeh jazba tumhi se kia kahun, meine nahin pi hai

ASIM dooba jo pyaar mein mausam badal gaye

Phir bhi mein keh raha hun meine nahin pi hai

-Khan M. Asim...17/11/2007...2:25 AM...juss wrote...it might require some editing...but i felt to post...so i did...

Thursday, November 15, 2007

!!! GHUM !!!


Najane kiska ghum hai yeh jo mujhko khaye jaata

Udaasi hi udaasi hai aur aansu aaye jaata hai

Jo sochun tere baare mein to phir qaabu nahi rehta

Kabhi aansu kabhi laali yeh dil chalkaye jaata hai

Dua dun bad-dua tujhko, aakar ab bata de yeh?

Sukun mein kuch sukun tha tab sukun ab khaye jaata hai

Khudara kia ghazab hai kyun woh yun tadpaye jaata hai

Kabhi aankhen churata hai kabhi sharmaaye jaata hai

Na ASIM roiye ab uss bewafaa ke vaaste hargiz

Wafa ka naam lekar jo tujhe tadpaye jaata hai

-Khan M. Asim...24/11/2004...9:00 PM...

Thursday, November 08, 2007

!!! Dil ki saza !!!


Na tu bewafa hai na tu bawafa hai

Wafa ki qasam tu dil ki saza hai

Yeh angdaiyan yeh sharara badan

Yeh aankhen nashili koi mekada hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai....

Yeh zulfon ki sarsar adaon ki narmi

Yeh honton ki laali yeh baahon ki garmi

Yeh masgan ka uthna yeh palkon ka jhukna

Badi jaan-leva teri har ada hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...

O' mehfil ki raunaq ae din ke ujale

Zara faaslon ko yahan se hatale

Hai sapnon ki duniya, yeh duniya ki jannat

Mujhe aake apne gale se lagale

Tuhi meri jannat tuhi haan qaza hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...

Kabhi tera hansna mujhe yaad aaye

Kabhi tera rona mujhko rulaye

Kabhi tera ladhna ghairon se mujhpar

kabhi khud hi mujhko tu ghar se bhagaye

Woh qaatil adayen mujhe yaad aayen

Tu hi raazdaan hai tu hi paasbaan hai

Wafa ki qasam tu dil ki saza hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...

Woh tera milana tere doston se

Woh unko jalana mere saath rehke

Kabhi unse mera parichey karana

Kabhi saath milke thahuke lagana

Woh teri mohabbat woh qaatil zamana

Tu meri kahani tu hi daastan hai

Wafa ki qasam tu dil ki saza hai

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai...

Tu koi chalava tu koi ada hai

Na jannat, jahannum tu sabse juda hai

Na tu meri manzil na mera khuda hai

Tere naam se hi qalam gir raha hai

Wafa naam pe kyun mein tohmat lagaon

Na tu bewafa hai na tu bawafa hai

Wafa ki qasam tu dil ki saza hai...

-Khan M. Asim...21/11/2006...1:50 AM...

Monday, November 05, 2007

***Jeevan Sangeet***


Har subah ki pehli kiran hai tu Har shaam ka pehla geet

Madhur madhur teri Ankhon mein hai jeevan sangeet

Khuli khuli in zulfon se jaane kitne hue maqtool

Rukhsaar pe tere dekhke til saadhu bhi hue madhool

Hai door bahut Aakaash mein tu pana hai tujhe mushkil

Aashiq ki tamanna bas itni hojaye iski jeet

Madhur madhur teri aankhon mein......

Sulag sulag yeh aag jale dil ke mere bheetar

Aus pade in zakhmon pe jab dekhun tujhe dilbar

Haan chod de duniyadaari ko chod de chahar diwaari ko

Aankhon se mujhe bas jaam pila banja tu meri meet

Madhur madhur teri aankhon mein hai jeevan sangeet

- Khan M. Asim...29/08/06...6:30 AM...Now posted for beautiful eyes...

!!! Justuju !!!

Wahi andaaze guftugu

Wahi mere dil ki justuju

Kehna chahta hun magar kaise kahun

Aaj phir saamne hai tu

Mere dil ki awaaz

Meri zindagi ka maqsad

Meri khoobsurat aarzoo

Sab kuch tumhi ho

Par tum nahi jaantin

Tumhi kaho kaise kahun tumse

Kehne par naaraaz na hona

Mein tumhe khona nahi chahta

Tumhare bina jee nahi sakta

Aur na mar sakta hun

Mein kaise kahun tumse

Yeh jazba-e-wafa

Mein tumse mohabbat karta hun

Mohabbat karta hun

Sirf tum se!!!!!!!!

-Khan M. Asim...hv to check date but wrote it long back...

Friday, November 02, 2007

Tumhara jaadoo utar nahin sakta !!!


Tumhara jaadoo utar nahin sakta

Ab tum-bin mein mar nahin sakta

Izhaar karchuka hun mein mohabbat ka

Zubaan se apni mukar nahin sakta

Hazaar mausam tumhe chupa len chahe

Rang dil se utar nahin sakta

Qatal karke koi juda kare toh kare

Zindagi mein koi kar nahin sakta

Saghar koi chalakta hai chalak jaane do

Ab yeh nashsha utar nahin sakta

Hazar toofaan o bala le aao

Raqs-e-Majnu darr nahin sakta

Yun toh ASIM kia kar nahin sakta

Marna chahun toh mar nahin sakta

Tumhara jaadoo utar nahin sakta!!!

-Khan M. Asim...02/11/2007...2:50 AM...